Monday, September 18, 2023

Ganesh Chaturthi

Bachpan mein Ganesh ji ki sabse sundar moorat chunne ki karte the prayas 

Par aaj ki peedhi ko karaana chahte hai ye ehsaas 

Har tyohaar toh hai prakruti ke paas hone ka aabhaas 


Geeli mitti se murti banakar 

Har tarah ke phool pattiyon se use sajaakar 

Varsha rutu ka tu shukriya ada kar 


Dharti ke har kone mein hai sundarta 

Uske har roop ko banakar jashn, manaane ki rakh tu kshamata 


Mitti se bani Ganesh ji ki murti nahi ho sakti kabhi poornata ka prateek 

Wo aate hi hai dene apoornata ko sweekar karne ki seekh 


Is prakruti ka hamesha karna vandan 

jisse chale hai hamara jeevan 


Ganesh Chaturthi ki haardik shubhkaamanayein

x

Tuesday, July 4, 2023

Ek duje se hai anoka naata 

Sundar hai inke pyaar ka ye rishta 


Ek duje ke bina jeevan inka mushkil 

Saath mein bhi tanha rehne ke kaabil 


Nahi hai kisi bhaasha ki inhe zaroorat

Inke dil ka rishta hai itna khoobsurat


Apne hi duniya mein magn 

Saath ke har pal mein manaaye jashn 


Dosti kahe ya bhaiyon ka pyaar 

Samundar ki tarah bahe sadaa bahaar 


Sache mohobbat ki yeh hai nishaani 

Soham aur bean ki kahaani.... Meri zubaani 

Tuesday, May 16, 2023

Mother's day

 Ae duniya walo, chalo shuru karo maa ke tyaag ki kahaniyan 

Mother's day ka hai din, maa ki toh wahi hoti hai khubiyaan 


Chalo karte hai maa ke kai roopon ka gun gaan 

Tyaag, sahansheelta, mamta, inhi se toh joodi jaati hai uski maan 


Ghar ki har chote kaam ko banaakar uski zimmedari 

Daftar ke kaamo ki bhi toh hai jawaabdaari 


Inhi sab se baandh kar uski zindagi ka mahatv 

Kuchal diya gaya hai uska astitv


Phir bhi Maa, aaj social media mein badhaayenge hum tera maan 

Kyonki nahi badalna chahte asliyat mein teri pehchaan 


Par aaj ek maa kehna chahti hai is duniya se kuch 

Tere is mahaanta ka gungaan hai tucch 

Hum banaayenge humari zindagi, yehi hai sach 


khud ki khushi yehi rahegi meri pratham kartavya 

Khud ki zindagi mein banaaye rakhoongi apna mahatya 

Tuesday, April 5, 2022

 Hijaab... Poshakh


dharma niraa peksh hai hum... aisa kahe hai hamara samvidhaan
kya shaashan kar raha hai iska paalan???
ladki ke hijaab se kya hogi kisi ko dikkat
mard ki pagadi, aurat ki ghoongat par kyon nahi hote wo vyakt
Har kisi ko apni dharmik vichaardhaara rakhne ki hai aazaadi
aaj kyon us aazaadi par lagaayi ja rahi hai paabandi???
samaanta ki karte hai badi badi baatein
phir bhi dabaayenge aurat ke aage badhne ki koshishein
dharm yudh ched kar hi karna chahte hai paalan
kyon ki ek ho jaaye har naagrik toh nahi kar paayenge shaashan
mard ko banaaye rakhna hai apni satta ka bhram
na mile koi kaaran, hai hamaare paas dharam
aise aazaad bharat ki hum hai betiyaan
har pal sun paaoge hamare apmaan ki hi kahaaniyan

Saturday, December 18, 2021


Wah re zamaana

Aaj bhi chahe aurat hi sambhaale gharaana 

Uski itchaaon ko nahi milti zubaani
Kyon ki maan liya jaata hai... Wo toh degi kurbaani

Ghar ki khushi uska pratham kartavya
Khud ki khushi?? Kya rakhta hai ye mahatva???

Aaj kal toh badh gayi hai aurat se ummeedein
Ghar, naukri aur batcche.... sabhi tum sambhalein

Kal majboor thi chodne apna astitv
Aaj badnaam hai kyon ki banaaye hai apna astitv

Aurat ki zindagi ko hi usne bana diya hai jhol
Kash sikha deta use uski khushiyon ka mol

Na jaane kyon aurat ko ghoshit kar diya gaya hi tyaag ko devi
Nahi sahan hota aaj bhi agar ban jaaye wo apne khushiyon ki premi

Kai auraton ka shayad yehi hoga kehna
Par khush hoon unke liye jo kahe hai badal raha hai taraana

Sunday, July 4, 2021

 

Ae sarkar!!! Bas karna jaante ho bade aelaan
Desh vaasi ke mushkil se hamesha hi rahe ho anjaan
Ae Sarkar!!! kar diya demonitization ka aelaan
kiya tha desh se kaala dhan mitaane ka pramaan
nahi mita kaala dhan naahi door hui hamari pareshaani
bas dhal gayi thi hamare hi paise par paabandi
Ae Sarkar!!! kar diya lockdown ka aelaan
kya socha tha...kaise milega rozi majdooron ko wetan
maana lockdown tha zaroori
ek hi pal mein aise na badhaate berozgaari
kar dete unke jeevan ka koi prabandh
Laazmi tha desh ko karna band
Ae sarkar!! Kar diya har baalig ko teeke ka aelaan
kya is maatr mein teeka ho sake hai utpaad---- Is baat ki toh jaanch karte yajmaan
Phir aaya "Raajya sarkar hi kare teeke ke prabandh ka aelaan
mit gaya kendra sarkaar ka desh vaasi ki raksha karne ka pramaan
Kya mila hai in aelaanon ka manuchit parinaam??
Bas aam insaan ne bhugta hai in aelaanon ke dushparinaam
ek waqt tha... jab sarkar par kiya tha desh ko unchayi tak pahunchane ka bharosa
Aaj hamare us soch par hota hai afsoos,, aata hai gussa
desh mein berozgaari, bhrastachar mitaane ka khwaab
ban kar reh gaya hai sarkaar ka ek naquaab

#gocoronago

Toote hain kitnon ke sapne
Khoye hai kitno ne apne
Toot gaye kitnon ke ghar
Tham gayi kitnon ki jeevan safar
Reh gaye kitno ki zindagi adhuri
Cheen gayi kitno se khushiyan saari
Khoya hai kitnon ne apna jeevan aadhar
Nahi mile hai kitnon ko har mahine pagaar
Choot gayi hai kitnon se unki naukri
Karna padgaya kitnon ko jeevan mein na chuka paaye, itni udhaari
Reh gayi hai kitnon ke jeevan mein aasha ek choti
Mil jaaye har waqt khaane ki ek roti
Shaaririk roop se bhale hi reh paaye hai surakshit
Maanasik roop se har koi hai peedith
Har roop se insaan ab ho chuka hai behaal
Ae corona!!! Ho jaaye bas ab tera intekaal