Meri naani
har pal pehne sundar si muskaan
har pal pehne sundar si muskaan
aaj paa gayi wo nirvaan
hamesha sajti unke mukh ki laali
yaad dilaye hume unki zindadili
zindagi ke madhyantar par dard ko banakar apna humdum
apno ki khushi ke liye pee gayi wo saare gham
parivaar ke liye deti rahi balidaan
niswaarth jeevan unki pehchaan
na kabhi kiya zindagi se shikayat
zimmedari nibhate guzaar diya saara waqt
aap hi se bandhi thi kai rishton ki dor
hum reh gaye tanha aaj is or
sach hi kehte hai
kisi ke jaane ke baad badh jaata hai unka mahatv
kabhi na bhool payenge aapka ye pyaara astitv