Thursday, October 27, 2016

Miss you Rashmi akka 

yaadein bhulana nahi hota itna aasaan 
agar hota toh na karte hume wo har roz pareshaan 

Deepavali ka parv ab nahi lagta mazedaar
Jo taaza karde zakhmon ka wo bhandaar

badal gaya us din saara maahol 
udaas lagne laga tha saara bugol 

us pal se aaj tak zindagi mein hai khaalipan
wahi yaadein hai ab us beetein dino ka darpan 

Na laa paya ye parv dil se chehre par muskuraahat 
bas ubhar kar aate hai un palon ki ghabrahat

Saturday, October 1, 2016

Mausam hai suhana
Dil hua shaayraana
Bune hai khayalon ka aashiyaana

Mann mein jaage ek guzaarish
Baadalon ko chumne ki hai khwaaish
Par chupi hai isme bhi kudrat ki koi saazish

Chal raha hai zindagi mein aisa sangharsh
Nahi jaante kahan milega hume utkarsh
Mausam aur badhaaye hamara ye kashmakash

Waqt aisa guzra ki pata na chala kab beeth gaya saawan
Daftar ke computer ke saamne hi guzar gaya hamara saara youvan

Sunday, August 7, 2016

Jab dil ke jazbaat ban jaate hai mazaak
tab wo rishte bhi ho jaate hai napaak

kisi ke liye pyaar hota hai ibaadat 

kisi ke liye bas waqt ke saath badalne waali aadat

inhi napaak logon ka toh hai taraana

sacha pyaar karne walo ka yahan na ban payega koi aashiyaana 

meri ibaadat na samajh paoge tum 

is bedili udaasi mein kahin kho kar rehjayenge hum 

phir na karna humse kabhi pyaar ki baat 

khohkle ho gaye hai ab hamare bhi jazbaat 

Monday, April 18, 2016

गु-गुम है मुस्कराहट के पीछे जिनकी बातें
रु-  रूह से चुने है जिसने अपनी आदतें
स्-स्वप्न के ख्यालों में सजाये है शरारतें
ने- नेमी से कुछ अलग करने की है जिसके हसरतें
हा- हालात के परे सोचने की रखती है इरादे

लिखने चले है जो नयी ज़िंदगानी
गुरु स्नेहा की बनेगी अलग एक कहानी

थोड़ी नोक झोक थोड़ी मस्ती
ऐसे ही सजे हमारी कश्ती

प्यार हो इस रिश्तें का सार
दोस्ती से शुरू हो इसका करार
नए सफर का मिल कर करे ऐतबार
jab pehli baar suni unki aawaaz 
anokha laga unka mizaaz 

kai anokhi vishayon mein rakhte hai ruchi 
khaane mein bhi hai unhe khaas abhiruchi 

pehli parichay se pata chala thoda unka astitv 
aatma niyantrit, shaat swabhaav, sundar muskaan hai unke khaas tatv 

is parichay ka kya hoga parinaam 
tha wo mere hast rekhao ke naam 

poochi gayi meri bhi marzi 
pata chala sab hai is rishtey ke liye raazi 

par mann mein tha ek vichaar 
kaash wahi kar dete is marzi ka izhaar 

shuru hui hamari baatein 
bun ne lage naye rishtein ki buniyaadein

alag hai inka andaaz 
kabhi na jataate apne dil ke ehsaas 

na kehkar bhi keh dete hai apne dil ki baat 
aise hi toh jude hai hamare dilon ke jazbaat 

sagaai se shaadi ka suhaana tha safar
dikhe kuch unsuni unkahi baaton ka asar 
shaadi ke baad anokha tha dagar 

ajnabee se ban gaye jeevan saathi 
isi beech pata nahi kab ban gaye poore jazbaati 

peeche mud ke agar dekhu aaj 
samajh aate hai hamari baaton mein chupe raaz 

alag the hamare pyaar ke rang 
zindagi ko hum banayenge sundar tarang
Love 

nahi socha tha itni jaldi aayega aisa din
jahan rehna mushkil hoga aapke bin 

har pal mein basi hai aapki yaad
kisko sunau mein apne mann ki fariyaad

kaisi hai ye hamari majbooriyan 
kab khatam hogi hamari ye dooriyan 

aapke saath ka har lamha hai yaadgaar
par nahi jaanti kab ho gaya aapse itna pyaar 

meri zindagi mein koi ho jayega mujhse bhi khaas
nahi tha mujhe is baat ka ehsaas 
waqt ne dilaya hai mujhe ye vishvaas 

ab waqt hi dega mere is sawaal ka jawaab 
karna hai har is adhoore pal ka hisaab

tujhse doori ab nahi hoga sahan 
tere sang bitana hai ye jeevan 

raftaar ho ab waqt ki gati
aapse doori aur nahi seh sakti aapki shrimati

Sunday, March 13, 2016

Arranged marriage 

shuru hui thi ghar mein mere shaadi ki baatein 
aane bhi lage the rishton ke saugaatein 

us pal bhi usi soch mein thi mein doobi 
ek ya do mulakaton mein kaise pata karu kisi ki khoobi 

kiske saath judegi meri taqdeer 
kaun batayega mujhe?? kya hai koi mukhbir??

dil mein ubhar rahe the vahi vichaar 
kya shaadi jaise ahem rishtein ke liye hoon mein tayaar???

kabhi ghar walo ko, toh kabhi apne dil ko samjhaati 
kabhi mann hi mann mein sarsaraati 
banaye aphi hi paribhaasha, jo banta mera jeevan saathi 

kaise tay karungi ye safar 
har mulaqat ke pehle mann mein rehta ek ajeeb darr 

kisiko chahiye thi sarkaari naukri karne wali dulhan 
toh kisi ko sundar bahu jaise mor ki darpan 

jahan koi nahi samajh raha tha meri khwaishein 
wahin aaya ek rishta jisne nahi daali mujh par koi bandishein 

hone lage ek duje ke vichaaron se parichit 
banenge ek dooje ke jeevan saathi.. ye bhi hua nishchit

shayad aaya tha koi mukhbir jo aasaan kar gaya meri ye mushkil 
mila gaya mujhe unse jinke saath judengi zindagi ki saahil

Dheere dheere hone laga ek duje se pyaar
Niyati se jude the jo taar 
aaj banenge ek naye rishtein ka saar

apnon ki khushiyan bhi jahan ho gayi shaamil 
mil kar banayenge aashiyan jo hai hamare sapnon hi manzil

Tuesday, January 19, 2016

ajeeb hai ye zindagi ka khel
nahi jamta dil aur dimag ka bhi taal mel
 
jahan dimag kahe hai na jaane kaisa hoga aane wala waqt
bana apne iraadon ko sakht
 
dil kahe hai, aane wale waqt ka nahi hai koi aashvasan
jee le is pal jaise zindagi ho koi jashn
 
sochu ya kehdu apne wo dil ki baat
isi vichaar mein badal jaate hai haalaat
 
kyon leke chalu kisi ko khoone ka darr
har haal mein paar karna hai zindagi ka safar


chalti hi rehti hai dil aur dimaag ki ladaai 
zubaan nahi samajhta, kise de wo apni gawaahi

Dil aur dimaag ki ye baatein
yaad dilaye hume zindagi ki choti choti haqueekatein

kise pata kya hai kal ka raaz
toh kyon roke aaj ke is pal ke aas

aise hi chalti rehti hai dil aur dimaag ki aankh micholi
isi kashmakash mein bharti hi ja rahi hai zindagi ki jholi