Monday, September 18, 2023

Ganesh Chaturthi

Bachpan mein Ganesh ji ki sabse sundar moorat chunne ki karte the prayas 

Par aaj ki peedhi ko karaana chahte hai ye ehsaas 

Har tyohaar toh hai prakruti ke paas hone ka aabhaas 


Geeli mitti se murti banakar 

Har tarah ke phool pattiyon se use sajaakar 

Varsha rutu ka tu shukriya ada kar 


Dharti ke har kone mein hai sundarta 

Uske har roop ko banakar jashn, manaane ki rakh tu kshamata 


Mitti se bani Ganesh ji ki murti nahi ho sakti kabhi poornata ka prateek 

Wo aate hi hai dene apoornata ko sweekar karne ki seekh 


Is prakruti ka hamesha karna vandan 

jisse chale hai hamara jeevan 


Ganesh Chaturthi ki haardik shubhkaamanayein

x

Tuesday, July 4, 2023

Ek duje se hai anoka naata 

Sundar hai inke pyaar ka ye rishta 


Ek duje ke bina jeevan inka mushkil 

Saath mein bhi tanha rehne ke kaabil 


Nahi hai kisi bhaasha ki inhe zaroorat

Inke dil ka rishta hai itna khoobsurat


Apne hi duniya mein magn 

Saath ke har pal mein manaaye jashn 


Dosti kahe ya bhaiyon ka pyaar 

Samundar ki tarah bahe sadaa bahaar 


Sache mohobbat ki yeh hai nishaani 

Soham aur bean ki kahaani.... Meri zubaani 

Tuesday, May 16, 2023

Mother's day

 Ae duniya walo, chalo shuru karo maa ke tyaag ki kahaniyan 

Mother's day ka hai din, maa ki toh wahi hoti hai khubiyaan 


Chalo karte hai maa ke kai roopon ka gun gaan 

Tyaag, sahansheelta, mamta, inhi se toh joodi jaati hai uski maan 


Ghar ki har chote kaam ko banaakar uski zimmedari 

Daftar ke kaamo ki bhi toh hai jawaabdaari 


Inhi sab se baandh kar uski zindagi ka mahatv 

Kuchal diya gaya hai uska astitv


Phir bhi Maa, aaj social media mein badhaayenge hum tera maan 

Kyonki nahi badalna chahte asliyat mein teri pehchaan 


Par aaj ek maa kehna chahti hai is duniya se kuch 

Tere is mahaanta ka gungaan hai tucch 

Hum banaayenge humari zindagi, yehi hai sach 


khud ki khushi yehi rahegi meri pratham kartavya 

Khud ki zindagi mein banaaye rakhoongi apna mahatya