Thursday, October 27, 2016

Miss you Rashmi akka 

yaadein bhulana nahi hota itna aasaan 
agar hota toh na karte hume wo har roz pareshaan 

Deepavali ka parv ab nahi lagta mazedaar
Jo taaza karde zakhmon ka wo bhandaar

badal gaya us din saara maahol 
udaas lagne laga tha saara bugol 

us pal se aaj tak zindagi mein hai khaalipan
wahi yaadein hai ab us beetein dino ka darpan 

Na laa paya ye parv dil se chehre par muskuraahat 
bas ubhar kar aate hai un palon ki ghabrahat

Saturday, October 1, 2016

Mausam hai suhana
Dil hua shaayraana
Bune hai khayalon ka aashiyaana

Mann mein jaage ek guzaarish
Baadalon ko chumne ki hai khwaaish
Par chupi hai isme bhi kudrat ki koi saazish

Chal raha hai zindagi mein aisa sangharsh
Nahi jaante kahan milega hume utkarsh
Mausam aur badhaaye hamara ye kashmakash

Waqt aisa guzra ki pata na chala kab beeth gaya saawan
Daftar ke computer ke saamne hi guzar gaya hamara saara youvan