Saturday, August 30, 2014

kuch alag.......

ae zindagi le chal mujhe wahan 
sheher ki ye shor na ho jahan 

na ho sampark ka koi saadhan 
prakruti ke tark par chale ye jeevan 

taazgi ki hawaaon se bharpoor 
is kalushit vataavaran se door 

sun saku apne dil ki awaaz
mehsoos kar saku nirmal aanand ka ehsaas

kaanon mein gunje jahan prakrutik sangeet
pani ka jharna chidiyon ke wo geet

maanti hoon sheher ke is pradushan mein hi hai zindagi
par jeena chahu kuch palon ki wo taazgi

prakruti ke baahon mein kho jau kuch pal
bhool jau asliyat ke is zindagi mein ho rahe chal

ae zindagi le chal mujhe wahan
zindagi ke rangmanch ke naatak se naata na ho jahan

Sunday, July 20, 2014

Meri naani 

har pal pehne sundar si muskaan 
aaj paa gayi wo nirvaan

hamesha sajti unke mukh ki laali 
yaad dilaye hume unki zindadili 

zindagi ke madhyantar par dard ko banakar apna humdum
apno ki khushi ke liye pee gayi wo saare gham 

parivaar ke liye deti rahi balidaan 
niswaarth jeevan unki pehchaan 

na kabhi kiya zindagi se shikayat 
zimmedari nibhate guzaar diya saara waqt 

aap hi se bandhi thi kai rishton ki dor 
hum reh gaye tanha aaj is or

sach hi kehte hai 
kisi ke jaane ke baad badh jaata hai unka mahatv 
kabhi na bhool payenge aapka ye pyaara astitv

Sunday, June 8, 2014

Andhra Pradesh--- Telangana-- Residual AP 

bas itihaas hi padhegi telugu rashtra ki kahani
ab us telugu ki bhi ho gaye hai do alag zubaani
itne balidano aur himmat ko mila hai utkarsh
rang laaya itne saalo ka sangharsh
telangana ko mila hai naya astitv
rashtra naksh par hoga naye raashtra ka aavirbhav
sanyukht raajdhaani jo bana hai hyderabad
dono raashtra vaasiyon se hai jo sheher aabaad
dono raashtra ke mukhya mantri
bhool na jaaye sheher ki unnati
sabki itchaon ka karte saraahna
aapas mein bani rahe bhaai chaare ki bhaavna
dono rashtron ke nirman par sabhi ko dete hai subhkaamanayein
vikaas aur unnati par tiki rahe sarkaar hi nigaahein
raashtra vaasi ke ummedon par kabhi na aane paaye do raahein

Thursday, May 1, 2014

stop reservation 

kab tak chalega jaati ke naam pe bhed bhaav 
kabh nazar aayega desh mein badlaav 

vidhya budhi ka lagta hai kam ho raha hai mahatv 
jab reservation ke kaam dheere dheere mitaya ja raha hai uska astitv 

unki vidya ke liye scholarship 
naukri mein unke liye alag hissa 
hamari vidya hamari mehnat ban ke reh jaati hai charcha ka bas ek kissa 

har kaarya mein aarakshit jaati ko hi jab mil rahe hai avasar 
vidyadaan jaise peshe mein bhi dikhe hai iska asar 

reservation chaatr badh jaate hai aage 
yogya chaatr reh jaate hai peeche 

ekta ki sabhi karte hai hukumat 
reservation mana karne ki koi dikha sakta hai himmat??

jab raas aa gaya hai aasaan sa path 
shobha nahi deta apko ekta ki vakaalat 

hoga jab muquable ka ek hi madhyam 
tab nazar aayega sabka parishram

ab waqt hai mitaye hum ye aarakshan 
desh mein asli samaanta ka dekar pradharshan 
asli pratibha ko dekar padh ka shaashan 
desh ki unnati ka bane hum bhi kaaran 

Monday, April 21, 2014

Ab ki baar modi sarkaar 

itne saalo ki congress raajneeti 
nahi nazar aayi desh ki unnati 

yuva bharat ke vote par hai jiske aankhen jami 
sooj booj, gyaan budhi ki dikhe hai jisme kami 
aisa neta bas badha sakega kursi ki garmi 

jo na nibha paaye ek rashtra ka kaarya charya 
kya wo laa payega desh mein anucharya 
nahi dekhna chahu hadtaalo se ghera raajya 

aam chai wale se jo ban gaye hai bade neta raajnaitik
budhi matta aur chaaturya ka jiske diya hai prateek

chahiye aisa neta jo nibha sake desh ki pragati ka bhaar
jise na ho bas apne matlab se pyaar

desh ki unnati jiska hai mool aadhaar
chahiye hume aisa sarkaar
bas ab ki baar modi sarkaar

Saturday, April 5, 2014

Bhartiyata.....

apne rudhivaadi vichaar dhaara ko dekar desh ka naam 
kar rahe hai desh ko badnaam 

ladki ka utcha bolna anaitik 
ladki ka khul ke hasna asaanskrutik 
aadhunik vichaar dhaara rakhna asaamajik 

kyon ladkiyo ke liye hi banaye gaye hai niyam??
kab tak nibhaye aapki satta ka bhram??

maanti hoon mila hai bhaarat mein beti hone ka shraap 
shayad kiya hoga koi paap 

ab nahi sahi jaati ye zillat 
waqt aa gaya hai dikhau meri taakat 

nahi rok paoge meri vichaar dhaara 
nahi sehna bharatiya naari hone ka naara 

mere vichaaro par bhi agar karna chaho hukumat 
nahi karti mein aise mard ki izzat 

bharat mein mard ho kar mil gaya hoga tume shaasan 
par samjho aaj ki bharatiya naari nahi hai abala jo sahe tumhari shoshan 

Sunday, March 30, 2014

Chunaav (Elections) 

Har jagah hai election ka shor 
Na jaane kiske pankh lagega ye mohr

Chunav se pehle har koi deta hai upanyas 
Nahi nazar aata unka desh ki unnati ke liye prayaas 

Desh mein ban gaye hai darzano party 
Har party ki ek hi neeti 
Khud ka vikaas aur khud ki pragati

Delhi ne di aam aadmi party ko hukumat
Aaj shayad khud ko aam aadmi kehte karte hai nafrat

Hisson mein bat raha hai desh
Phir bhi pehne hai bhinnata mein ekta ka vesh

Modi sarkar par hai sabko bharosa
Hum bhi yehi maan kar dil ko de rahe hai dilasa

Chahiye aisa neta
Jo samjha sake ek jhut hone ki mahaanta
Bana sake desh mein unnati ko ek pratha