Sunday, October 12, 2014

Raat ka nasha 

har raat neend mein aata hai ek chehra 
jo bana deta hai mere sapne ko sunehra 

raat bhar karte ho mujhse lambi baatein 
din mein ojhal ho jaate ho banke yaadein 

sang lekar aate ho khushiyon ki mehek aur ankhon mein chamak 
raat ke andhere mein dete ho sukoon, shanti ka dastak 

tumhare honton par alag lagta hai mera hi naam 
jo jod deti hai tumhare pyaar ka paigaam

din bhar mann mein aate hai bas tumhare hi vichaar 
soch ti hoon shayad tum bhi kahin kar rahe ho mera aitbaar 

nahi jaanti hai bhi ya nahi tumhara astitv 
agar hai to saump do tumhe apna sarvasv 

kabhi sapne mein hi kar do apne pyaar ka izhaar 
zindagi jeene ka mil jayega mujhe bhi saar 
bhar jayega meri zindagi mein khushiyon ka bhandaar 
jee lungi karte isi sapne ka aitbaar 

Saturday, October 4, 2014

sapne

bohot kam log hote hai itne khushnaseeb 
jo pahunchte hai apne sapnon ke kareeb 

uske zindagi ka yehi raha hai kissa 
us kam ka kabhi na thi wo hissa 

apne dil ke sapnon ko dena chahti thi udaan 
chand haalaton ne maang liya uske sapnon ka balidaan 

aaj paa liya hai usne zindagi ki har suvidha 
par nahi bhula saki apne mann ki vyatha

mushkil hai bhula paana ateet 
jab wo tha uske zindagi ka asli preet 

seekh liya usne waqt ke anusaar chalna 
chod diya usne ab sapne dekhna 

apne sapne ki kabr dil mein liye 
phir bhi hasi ka kaftaan pehne 
jiye jaa rahi hai pagli jahan zindagi chale
Happy Dussehra

desh ke har kone mein ho raha hai raavan dahan 
burai par atchai ki jeet ka mana rahe hai jashn 

seeta mayya ne bitaya virah mein raavan ki lanka mein vaas
phir bhi mahaan hai Ram kyon ki unhone pura kiya vanvaas 

chahe ho treya yug ya dwapar yug ya aaj ke kali yug ka taraana 
aurat par zulm se hi deta hai mardaangi ka pradarshan ye zamaana

Mahishasur ke marthan ka bhi manate hai aaj tyohaar 
devi maa ne kiya shakti ka roop dhaar

ab toot ne laga hai hamari bhi sabr ka baandh
hum bhi nikal pade banane dharm ki buniyad

agar aise hi hota hai adharm ka naash
hum bhi tayaar hai karne mann se adharm ka vinaash

nahi karna shakti ya durga ka roop hume dhaaran
bas dena hai hamari himmat ka ek chota pradarshan

ai maa sun lena aaj meri ye prarthana
dena himmat, kyon ki phir se hai atchai ki neev hume bun na

Saturday, September 13, 2014

Paisa Paisa
sach hi kehte hai paisa hi hai har jad ka fasaad
aaj dekh bhi liya use hilate rishton ki buniyaad
jab do dilon ke beech aa jaata hai paisa
kamzor ho jaata hai har rishta
maana paisa hai aaj ke zindagi ki zaroorat
par kyon dene lage hai har rishte se upar paise ko ehmiyat??
kya nahi reh gayi hai dilon ke rishton ki koi izzat??
lagta hai karna padega tol mol ke har baat
kyon ki aaj insaan ke liye paise se badhkar to nahi hai koi jazbaat
jab badal hi gaye hai insaan ke soch
kyon de rahi hoon paise ko dosh??
badal gaye hai waqt
jeena hai banakar dil ko sakht
jab tak nahi pahunchte maut ka takt

Saturday, August 30, 2014

kuch alag.......

ae zindagi le chal mujhe wahan 
sheher ki ye shor na ho jahan 

na ho sampark ka koi saadhan 
prakruti ke tark par chale ye jeevan 

taazgi ki hawaaon se bharpoor 
is kalushit vataavaran se door 

sun saku apne dil ki awaaz
mehsoos kar saku nirmal aanand ka ehsaas

kaanon mein gunje jahan prakrutik sangeet
pani ka jharna chidiyon ke wo geet

maanti hoon sheher ke is pradushan mein hi hai zindagi
par jeena chahu kuch palon ki wo taazgi

prakruti ke baahon mein kho jau kuch pal
bhool jau asliyat ke is zindagi mein ho rahe chal

ae zindagi le chal mujhe wahan
zindagi ke rangmanch ke naatak se naata na ho jahan

Sunday, July 20, 2014

Meri naani 

har pal pehne sundar si muskaan 
aaj paa gayi wo nirvaan

hamesha sajti unke mukh ki laali 
yaad dilaye hume unki zindadili 

zindagi ke madhyantar par dard ko banakar apna humdum
apno ki khushi ke liye pee gayi wo saare gham 

parivaar ke liye deti rahi balidaan 
niswaarth jeevan unki pehchaan 

na kabhi kiya zindagi se shikayat 
zimmedari nibhate guzaar diya saara waqt 

aap hi se bandhi thi kai rishton ki dor 
hum reh gaye tanha aaj is or

sach hi kehte hai 
kisi ke jaane ke baad badh jaata hai unka mahatv 
kabhi na bhool payenge aapka ye pyaara astitv

Sunday, June 8, 2014

Andhra Pradesh--- Telangana-- Residual AP 

bas itihaas hi padhegi telugu rashtra ki kahani
ab us telugu ki bhi ho gaye hai do alag zubaani
itne balidano aur himmat ko mila hai utkarsh
rang laaya itne saalo ka sangharsh
telangana ko mila hai naya astitv
rashtra naksh par hoga naye raashtra ka aavirbhav
sanyukht raajdhaani jo bana hai hyderabad
dono raashtra vaasiyon se hai jo sheher aabaad
dono raashtra ke mukhya mantri
bhool na jaaye sheher ki unnati
sabki itchaon ka karte saraahna
aapas mein bani rahe bhaai chaare ki bhaavna
dono rashtron ke nirman par sabhi ko dete hai subhkaamanayein
vikaas aur unnati par tiki rahe sarkaar hi nigaahein
raashtra vaasi ke ummedon par kabhi na aane paaye do raahein