Friday, December 26, 2014

kambal mein simte guzar jaati hai sardi
paseene bahate nikal jaati hai garmi

mausam ke saath jab badalte hai zaroorat
insaan ne apnaya prakruti ki yehi hasrat
badalte mausam aur rang hi hai zindagi ki haqueekat 

Sunday, December 21, 2014

sapnon mein aata hai bekhabar 
jaata hai meri neendein churakar 
asliyat mein na mili uski koi khabar 
aaj bhi dhoonde ye nigahein use darbadar

Sunday, November 9, 2014

Swatch Bhaarat

Modi ji ne diya swatch bhaarat ka pigaam 
har koi jud gaya dene use anjaam 

desh ko sundar banaane ka har nagarik ne liya hai bhaar 
rang la raha hai sabki mehnat ka saar 

sirf dikhavati sundarta ko agar de rahe hai mahatv
nahi hai ye swatchta ka asli tatv

dil se gangadi nikal ne ka hai waqt 
mann ki burai se ladne sabhi ko hona hai sakht 

sarvajanik sneh ke pradarshan se agar desh ki jaati ho rahi bhrasht 
to kya desh mein ho rahe atyacharon se aapki jaati hai samarth????

jab vidhya daan karne wale guru bech rahe hai apna imaan 
kis rishte ka kare hum sammaan???

agar aisi swatchta ki rakhte hai hum aas
safal ho jayega swatch bhaarat ka prayaas

jab dilon mein bhara ho itna gand
kahan mehsoos kar payenge swatch bhaarat ka sugandh 

asli swatchta ka agar mil kar karte hai prayaas
tab Modi ji ki ye pehel hogi khaas

Monday, October 20, 2014

guzar gaya waqt badal gaye taareek
par beete kal se kya liya humne koi seekh??
dil ko mili hi thi raahat ki sukoon
banaye gaye kaanoon 
dikhi wo badlaav ki junoon
lagayi sabne milke ummeed ki jyoti
par nahi ban payi wo badlav ki kranti
kal bhi stri par ho rahe the atyachar
aaj bhi hai desh ka wahi haal
par kehte hai ladki ki vesh bhusha ka hai kusoor
apni gandi soch pe kab ghaur karoge huzoor
uthar jaate ho us jaanwar ki aukaat
phir kya vesh bhusha ya umr ki baat
aise gunaah kar jaata hai koi gumnaam
har koi ho jaata hai badnaam
nahi dena mujhe kisi ko dosh
kyon ki sabhi ko vikasit karna hai soch
ab nahi reh jaata dasara ya diwali ka mahatv
jab dilon mein nahi hai tyohaar ka asli tatv
is tyohaar rakhte hai bas yehi chaahat
jeena seekho dikhakar thodi insaaniyat

Sunday, October 12, 2014

Raat ka nasha 

har raat neend mein aata hai ek chehra 
jo bana deta hai mere sapne ko sunehra 

raat bhar karte ho mujhse lambi baatein 
din mein ojhal ho jaate ho banke yaadein 

sang lekar aate ho khushiyon ki mehek aur ankhon mein chamak 
raat ke andhere mein dete ho sukoon, shanti ka dastak 

tumhare honton par alag lagta hai mera hi naam 
jo jod deti hai tumhare pyaar ka paigaam

din bhar mann mein aate hai bas tumhare hi vichaar 
soch ti hoon shayad tum bhi kahin kar rahe ho mera aitbaar 

nahi jaanti hai bhi ya nahi tumhara astitv 
agar hai to saump do tumhe apna sarvasv 

kabhi sapne mein hi kar do apne pyaar ka izhaar 
zindagi jeene ka mil jayega mujhe bhi saar 
bhar jayega meri zindagi mein khushiyon ka bhandaar 
jee lungi karte isi sapne ka aitbaar 

Saturday, October 4, 2014

sapne

bohot kam log hote hai itne khushnaseeb 
jo pahunchte hai apne sapnon ke kareeb 

uske zindagi ka yehi raha hai kissa 
us kam ka kabhi na thi wo hissa 

apne dil ke sapnon ko dena chahti thi udaan 
chand haalaton ne maang liya uske sapnon ka balidaan 

aaj paa liya hai usne zindagi ki har suvidha 
par nahi bhula saki apne mann ki vyatha

mushkil hai bhula paana ateet 
jab wo tha uske zindagi ka asli preet 

seekh liya usne waqt ke anusaar chalna 
chod diya usne ab sapne dekhna 

apne sapne ki kabr dil mein liye 
phir bhi hasi ka kaftaan pehne 
jiye jaa rahi hai pagli jahan zindagi chale
Happy Dussehra

desh ke har kone mein ho raha hai raavan dahan 
burai par atchai ki jeet ka mana rahe hai jashn 

seeta mayya ne bitaya virah mein raavan ki lanka mein vaas
phir bhi mahaan hai Ram kyon ki unhone pura kiya vanvaas 

chahe ho treya yug ya dwapar yug ya aaj ke kali yug ka taraana 
aurat par zulm se hi deta hai mardaangi ka pradarshan ye zamaana

Mahishasur ke marthan ka bhi manate hai aaj tyohaar 
devi maa ne kiya shakti ka roop dhaar

ab toot ne laga hai hamari bhi sabr ka baandh
hum bhi nikal pade banane dharm ki buniyad

agar aise hi hota hai adharm ka naash
hum bhi tayaar hai karne mann se adharm ka vinaash

nahi karna shakti ya durga ka roop hume dhaaran
bas dena hai hamari himmat ka ek chota pradarshan

ai maa sun lena aaj meri ye prarthana
dena himmat, kyon ki phir se hai atchai ki neev hume bun na