Wednesday, December 31, 2014

an year that passed by.....2014...

2014 ka aakhri din 
nahi guzaregaa yaadon ke bin

shaanti aur naman ki hamari aasha 
saal ke anth mein reh gaya bas niraasha

kai saalo se chal rahe telangana vibhajan ke naatak ko mila arth
alag raashtra se banakar ek naya charithr

modi sarkaar ka jaise chadha tha bhang
chadh rahe hai unhi ke iraadon ke bhi rang

jahan ban rahe the sarkaar
wahi raajnaitik netha ladh rahe the paane adhikar

roz ke is naatak mein dhoondh hi rahe the shaanti
beas ki nadi mein beh gayi ummeed aur reh gayi bas dard aur bhaanti

jaise kisi bache ka khilona
laga havai jahajo ka ghum hona

prakruti ka vikalp ya insaan ki laaparvahi
dard mein bilakhte parivaar ya sarkaar
kaun dega is baat ki gavaahi

kitanu bhi ho rahe hai taaakatvar
duniya dara hai dekh kar ebola ka asar
na jaane kab poora hoga dawai ke anusandhan ka safar

soch hi rahe the ye saal raha atankvaad se door
wahi bhaasha bolne wale hi reh gaye majboor

paathshaala jo maana jaata hai pavitr
sama gaya na jaane kitne kabr
har batche ke mann mein baith gaya hai darr

nahi laga paaya koi kaanoon is par niyantran
aaj bhi ho rahe hai aurat par shoshan

khushiyon aur ghamon ka sangam
2014 ka tha yehi sargam

door kare hum sab nafrat aur gusse ki bhaavna
duniya mein bani rahe shaanti aur naman
wahi hai aaj bhi meri kaamna

isi aasha mein guzar gaya ek saal
dekhna hai kaisa hoga 2015 ka haal

Tuesday, December 30, 2014

kis se jatau mein apne mann ki vyatha 
kyon nahi door hoti ye baadha 

aaj samjhi nahi banaani chahiye kisi bhi rishtey mein koi bandhan 
har koi chod jaata hai dekar dard aur chuban 

galat nahi hoon phir bhi hai dukh 
aankon se nahi rukte ye ashk 

akele rehne mein hi hai zindagi 
akele hi paana hai har bandagi 

Friday, December 26, 2014

kambal mein simte guzar jaati hai sardi
paseene bahate nikal jaati hai garmi

mausam ke saath jab badalte hai zaroorat
insaan ne apnaya prakruti ki yehi hasrat
badalte mausam aur rang hi hai zindagi ki haqueekat 

Sunday, December 21, 2014

sapnon mein aata hai bekhabar 
jaata hai meri neendein churakar 
asliyat mein na mili uski koi khabar 
aaj bhi dhoonde ye nigahein use darbadar

Sunday, November 9, 2014

Swatch Bhaarat

Modi ji ne diya swatch bhaarat ka pigaam 
har koi jud gaya dene use anjaam 

desh ko sundar banaane ka har nagarik ne liya hai bhaar 
rang la raha hai sabki mehnat ka saar 

sirf dikhavati sundarta ko agar de rahe hai mahatv
nahi hai ye swatchta ka asli tatv

dil se gangadi nikal ne ka hai waqt 
mann ki burai se ladne sabhi ko hona hai sakht 

sarvajanik sneh ke pradarshan se agar desh ki jaati ho rahi bhrasht 
to kya desh mein ho rahe atyacharon se aapki jaati hai samarth????

jab vidhya daan karne wale guru bech rahe hai apna imaan 
kis rishte ka kare hum sammaan???

agar aisi swatchta ki rakhte hai hum aas
safal ho jayega swatch bhaarat ka prayaas

jab dilon mein bhara ho itna gand
kahan mehsoos kar payenge swatch bhaarat ka sugandh 

asli swatchta ka agar mil kar karte hai prayaas
tab Modi ji ki ye pehel hogi khaas

Monday, October 20, 2014

guzar gaya waqt badal gaye taareek
par beete kal se kya liya humne koi seekh??
dil ko mili hi thi raahat ki sukoon
banaye gaye kaanoon 
dikhi wo badlaav ki junoon
lagayi sabne milke ummeed ki jyoti
par nahi ban payi wo badlav ki kranti
kal bhi stri par ho rahe the atyachar
aaj bhi hai desh ka wahi haal
par kehte hai ladki ki vesh bhusha ka hai kusoor
apni gandi soch pe kab ghaur karoge huzoor
uthar jaate ho us jaanwar ki aukaat
phir kya vesh bhusha ya umr ki baat
aise gunaah kar jaata hai koi gumnaam
har koi ho jaata hai badnaam
nahi dena mujhe kisi ko dosh
kyon ki sabhi ko vikasit karna hai soch
ab nahi reh jaata dasara ya diwali ka mahatv
jab dilon mein nahi hai tyohaar ka asli tatv
is tyohaar rakhte hai bas yehi chaahat
jeena seekho dikhakar thodi insaaniyat

Sunday, October 12, 2014

Raat ka nasha 

har raat neend mein aata hai ek chehra 
jo bana deta hai mere sapne ko sunehra 

raat bhar karte ho mujhse lambi baatein 
din mein ojhal ho jaate ho banke yaadein 

sang lekar aate ho khushiyon ki mehek aur ankhon mein chamak 
raat ke andhere mein dete ho sukoon, shanti ka dastak 

tumhare honton par alag lagta hai mera hi naam 
jo jod deti hai tumhare pyaar ka paigaam

din bhar mann mein aate hai bas tumhare hi vichaar 
soch ti hoon shayad tum bhi kahin kar rahe ho mera aitbaar 

nahi jaanti hai bhi ya nahi tumhara astitv 
agar hai to saump do tumhe apna sarvasv 

kabhi sapne mein hi kar do apne pyaar ka izhaar 
zindagi jeene ka mil jayega mujhe bhi saar 
bhar jayega meri zindagi mein khushiyon ka bhandaar 
jee lungi karte isi sapne ka aitbaar