Saturday, May 2, 2015

Himmat

kabhi badhegi to kabhi thamegi lehron ki bahaav
chalti hi jayegi zindagi ki naav 

jeet jayenge toofan ki har wo lehar
saath milkar nibhana hai zindagi ka safar

rang layegi hamare pyaar ki taakat
mushkilein bhi darr ne lage dekh kar hamari himmat

aaj kal ki nahi karti mein baat
chahiye zindagi bhar tera hi saath

teri khushi mein dhoondti hoon apna chehra
teri muskurahat hi hai  meri zindagi ka kinara
ek duje ka saath hi banega hamari zindagi ka sahara

Pyaar........

na jaane kab aane laga tujhpe pyaar
na jaanu kab se jataane lagi tujhpe adhikaar
na jaane kab se karne lagi teri baaton ka intezaar
na jaane kab se hone laga tere saath ka har lamha mazedaar
na jaane kab se karne lagi tera deedar
na jaane kab se lagne laga har din ek tyohaar

nahi jaanti kab ban gaye hum ek dooje ke liye khaas
nahi jaanti kab aagaye hum itne paas
nahi jaanti kab se hone laga mujhe ye ehsaas

hoti rahe humare beech bhi ikraar
hoti bhi rahe hum dono me takraar
samajhte ek dooje ke vichaar
nihaarte is rishtey ka saar

bas ab itna jaanti hoon tere har lamhe pe hai mera adhikaar
mein teri tu mera sajaayenge nayaa sansaar

Wednesday, December 31, 2014

an year that passed by.....2014...

2014 ka aakhri din 
nahi guzaregaa yaadon ke bin

shaanti aur naman ki hamari aasha 
saal ke anth mein reh gaya bas niraasha

kai saalo se chal rahe telangana vibhajan ke naatak ko mila arth
alag raashtra se banakar ek naya charithr

modi sarkaar ka jaise chadha tha bhang
chadh rahe hai unhi ke iraadon ke bhi rang

jahan ban rahe the sarkaar
wahi raajnaitik netha ladh rahe the paane adhikar

roz ke is naatak mein dhoondh hi rahe the shaanti
beas ki nadi mein beh gayi ummeed aur reh gayi bas dard aur bhaanti

jaise kisi bache ka khilona
laga havai jahajo ka ghum hona

prakruti ka vikalp ya insaan ki laaparvahi
dard mein bilakhte parivaar ya sarkaar
kaun dega is baat ki gavaahi

kitanu bhi ho rahe hai taaakatvar
duniya dara hai dekh kar ebola ka asar
na jaane kab poora hoga dawai ke anusandhan ka safar

soch hi rahe the ye saal raha atankvaad se door
wahi bhaasha bolne wale hi reh gaye majboor

paathshaala jo maana jaata hai pavitr
sama gaya na jaane kitne kabr
har batche ke mann mein baith gaya hai darr

nahi laga paaya koi kaanoon is par niyantran
aaj bhi ho rahe hai aurat par shoshan

khushiyon aur ghamon ka sangam
2014 ka tha yehi sargam

door kare hum sab nafrat aur gusse ki bhaavna
duniya mein bani rahe shaanti aur naman
wahi hai aaj bhi meri kaamna

isi aasha mein guzar gaya ek saal
dekhna hai kaisa hoga 2015 ka haal

Tuesday, December 30, 2014

kis se jatau mein apne mann ki vyatha 
kyon nahi door hoti ye baadha 

aaj samjhi nahi banaani chahiye kisi bhi rishtey mein koi bandhan 
har koi chod jaata hai dekar dard aur chuban 

galat nahi hoon phir bhi hai dukh 
aankon se nahi rukte ye ashk 

akele rehne mein hi hai zindagi 
akele hi paana hai har bandagi 

Friday, December 26, 2014

kambal mein simte guzar jaati hai sardi
paseene bahate nikal jaati hai garmi

mausam ke saath jab badalte hai zaroorat
insaan ne apnaya prakruti ki yehi hasrat
badalte mausam aur rang hi hai zindagi ki haqueekat 

Sunday, December 21, 2014

sapnon mein aata hai bekhabar 
jaata hai meri neendein churakar 
asliyat mein na mili uski koi khabar 
aaj bhi dhoonde ye nigahein use darbadar

Sunday, November 9, 2014

Swatch Bhaarat

Modi ji ne diya swatch bhaarat ka pigaam 
har koi jud gaya dene use anjaam 

desh ko sundar banaane ka har nagarik ne liya hai bhaar 
rang la raha hai sabki mehnat ka saar 

sirf dikhavati sundarta ko agar de rahe hai mahatv
nahi hai ye swatchta ka asli tatv

dil se gangadi nikal ne ka hai waqt 
mann ki burai se ladne sabhi ko hona hai sakht 

sarvajanik sneh ke pradarshan se agar desh ki jaati ho rahi bhrasht 
to kya desh mein ho rahe atyacharon se aapki jaati hai samarth????

jab vidhya daan karne wale guru bech rahe hai apna imaan 
kis rishte ka kare hum sammaan???

agar aisi swatchta ki rakhte hai hum aas
safal ho jayega swatch bhaarat ka prayaas

jab dilon mein bhara ho itna gand
kahan mehsoos kar payenge swatch bhaarat ka sugandh 

asli swatchta ka agar mil kar karte hai prayaas
tab Modi ji ki ye pehel hogi khaas