Saturday, December 21, 2013

.............

Ek hi pal mein jud gaye kayi rishtey 
Zindagi ke hai ye naye kishtein 
Phir bhi dil ko sataaye apno ke yaadein 

Apna kehne hai ek ghar 
Phir bhi sataaye us aangan ki yaad jisme beeta jawani ka safar 

Waqt guzar jaata hai nibhate har naye rishte ki zimmedari 
Phir bhi rehti maa ke aanchal ki baawri

Har subah maa ke haath ki chaay
Na jaane phir kab milne paay

Na kabhi poori hoti hamare itchao ki suchi
Kabhi pakode to kabhi bajji

Maa pura karti hamare dil ki har arzi
Aaj hum pura karte hai kisi ki marzi

Ghar ke har kone mein chupi meri yaad
Lagaane chale hai naye rishte ki buniyaad

Jaante hai nahi kam hoga apno ka pyaar
Mann phir bhi tarse paane wo dulaar

Chod chale hai har rishta peeche
Piya ka pyaar hi ab is dor ko seenche
Aakhri khwaish

Diye ja rahi hoon sabko akhri salaam
Sabko mera pranaam

Aap sab se thi jeevan mein jo khushi ki lehar
Un sabhi yaadon ka dil mein apaar saagar 
Anth hone chala hai ye safar 

Galatiyon ki maafi chahti 
Har rishte ke pyaar ko samet ti
Shayad koi taara hi ban jaati

Kabhi na bahenge aapke aansu karke mujhe yaad
Kyon ki har pal karti hoon aapke khushi ki fariyad
meri zindagi,, mere marzi

Aur kitna hona padega mujhe kurbaan
Kyon nahi hoti taqdeer mujhpe meherbaan

Thak chuki hoon karte halaat se samjhouta 
Nahi pehen sakti aur khush hone ka mukhota 

Karna chahu apne zindagi ko aabaad
Hokar har bandhan se azaad 

Na maanti apne haanton ki lakeer 
Ab khud chala ungi zindagi ke teer

Sunday, December 8, 2013

Youngistaan... Kudos to you 

masoom si muskaan ko lekar sang 
aaye the nanhe batche chalkaane khushi ke naye rang 

na lage wo hume kabhi anjaan 
par na tha unse hamara koi pehchaan 

un maata pita ki soch par hota hai dukh 
batcho ko vanchit kar apno ke pyaar ka sukh 

un sabhi ko karti hoon shat koti pranaam 
jinhone in bachon ke jeevan mein bhari hai nayi jaam 

is khushi se reh jaati vanchit 
youngistaan se agar na hoti parichit 

is niswarth kaarya ko karte ho aap sampann 
safalta ho hamesha aapka darpan

Saturday, December 7, 2013

Shaadi mein dahej ya pyaar??? 

maa papa ke saath naazoo pali 

aaj doli mein baith vida ho chali 

saathi ka saath paakar 
apne har purane rishte se door hokar 

naye zindagi ki aas liye 
apno ka pyaar dil mein chupaye

har naye rishte mein gholne pyaar 
ho rahi thi wo pagli bekaraar

laakh chupaye sach nahi chupta
use bhi koi nayi raah hi tha taakta

raas aayi thi unhe bas paise ki khushboo
ban gayi thi unki ghulam unki bahu

roz jo sehti thi atyaachaar
apne ko maan kar laachaar

pati ka saath sarvotham
ladki ka sehme rehna hi samaaj ka niyam

ghar walo se paa kar ye upadesh
tyaag diya jeevan ka saara sesh

aaj kyon behti hai aansuon ki nadi??
jab samaaj ke naam honton par hai taale jadi 

Friday, November 22, 2013

Sachin Tendulkar

jiske kaaran khel ko maana ja raha tha dharm 
aaj toota sabka wo bhram 

maidaan mein tumhara aagaman 
chauke chakko ka saja dete the chaman

aaj hai sabki aankhen nam 
tumhare retirement par sabko hai gham 

swarn se badhkar hai tumhari khyaati
tumsa na jameyega koi ab ye reeti

tumse mili thi is khel ko nayi disha
tumne paaya khel ke bhagwaan ka darja

aaj se maidaan mein hoga khaalipan
balle pe na hogi tumhari darshan
na bhadenge kisi gendbaaz ke dil ki thampan

jisne de thi bharatiya cricket mein ek nayi paigaam
Sachin Tendulkar hai uska naam

Sunday, November 3, 2013

Tyohaar............. 

Har tyohaar ka hai ek arth 
Na samjhi mein manaana hai vyarth

Buraai par atchai ki jeet hai har parv ka sandesh
Buraai se darr sehme rehne ki hi milte hai aaj kal hume upadesh

Sikhao dat kar saamna kare har mukabla
Na banao har ladki ko kamzor abala 

Soch ko karna hai vikasit
Sajne sawarne se na rehna hai seemit

Jis din kar paaye apne hi zindagi par adhikaar
Us din hoga asli tyohaar