Sunday, October 13, 2013

Devi maa 

jo na kar sake aam aurat ki izzat 
kya maata ki puja kar ho jayenge apne paap se mukt

ghar ki lakshmi pe jo karte hai zillat 
dhan lakshmi ki puja kar mil jayegi unhe daulat 

saraswati maa se karte ho gyaan ki prarthna 
ghar ki beti karte reh jaati hai vigyaan ki yaachna 

devi maa ki puja hai isi samaaj ki reeti
phir bhi aurat ko sehna pade hai samaaj ki har kureeti

maa jo dhaaran kare shakti ka roop
kya koi bach paaya tha unka prakoop

aurat par karte rehte ho atyaachar
na dikhaoge agar badalne ke aasaar
yaad rakhna durga bhi hai maa ka hi avtaar
bhaari na pad jaaye stri ka prahaar

No comments: