Monday, January 6, 2014

2013 ka safar 

chalo daalte hai beete kal par ek nazar 
2013 ka khatam hone chala hai safar

aatankvadi hamle se goonj utha tha hyderabad 
desh ki suraksha dal tab hui tainaat 

nirbhaya ne kanoon par lagayi nayi mohar 
us haadse ne macha diya desh mein gadar 

ladki par zulm se hi kyon dete hai mardangi ka pradarshan 
har ladki ki awaaz bani ladai ki garjan

jisne kiya itna bhayanak soshan
na bach paya dekar katchi umr ka kaaran

janam dene wale hi kar rahe hai hatya
aarushi ke jeevan ka bana ye bhayanak satya

khel se jud gaya tha jinka duja parinay
aaya unhi ke nivruth hone ka nirnay
Sachin ne kar diya sabko vismay

rangmanch ke kai mahaaan hasti
chod gaye dekar unke yaadon ki smriti

desh ki raajdhaani mein bani AAP paksh ki sarkaar
vahi AP mein aaj bhi vibhajan par kar rahe hai haahaakar

hone chala hai telangana raashtra ka nirmaan
dekhna hai kya hoga iska parinaam

prakruti ne bhi dikhaya apna alag andaaz
global warming hai iska raaz

2013 ne dekhe kai utaar cadhaav
har din paar karte naye padaav

2014 ka hua hai aagaman
bani rahe desh mein shaanti aur naman
burai ko door kar khushiyon se bhar de ye chaman

No comments: