Friday, December 11, 2015

Salman ke mukaddame ka faisla samajh paana lag raha hai mushkil
nahi samjhi kaun hai is mukaddame mein asli kaatil
Kya us waqt hum the technik ke itne aadhi
na koi insaan par kya gaadi ban gaya hai is mukaddame mein apraadhi??
kaun hai sazaa ka asli haqdaar??
itne saal baad bhi hamari nyaay pranali nahi de paayi sache vichaar???
kya gareeb ke jeevan ka yehi hai mol??
kya paise se hi hai sahi aur galat ka bhi tol???
kya milenge in sawaalo ke kabhi jawaab??
kya khulega sach par laga wo naqaab?
jo hamesha deta hai "Being Human" ki inaayat
Kya is maamle mein dikhayi hai koi insaaniyat???
agar na juda hota usme "Salman Khan" ka naam
tab bhi kya yehi hota is mukaddame ka parinaam???
desh ki nyaay pranali par kaise kare hum vishvaas
jab nahi daal paaye wo sachai par prakash

No comments: