Saturday, August 10, 2013

With independence day round the corner this is what is on my mind.............

shayad galat hoon jo utha rahi hoon aaj ye prashn 
kis svatantrata ki mana rahe hai hum jashn??

angrezon ki changul se jo hum choote 
apne netaoh ke haat apne kismat phoote 

kitno ne di hai desh ke liye balidaani 
kya hum jaante hai unki zindagaani??

jisne dekhi thi goliyon ki holi 
khoon se latpat thi jiski choli 

azaad hue ho gaye 66 saal 
Un veeron ke charitr par aaj bhi log karte hai sawaal 

desh ke banaye niyam na rok paaye shoshan 
kya kar rahe hai hamare neta jo dete hai bhashan??

jo baat karte hai sirf aatankvaad ki bhasha
wo kya kabhi samjhenge hamare aman ki aasha???

apne desh vaasiyon ki na karte parvah 
na hui padosi mulk se sulah 

itne kureetiyon se ghera hai desh 
phir bhi pehne hai svatantrata ke vesh 

aaj bhi kyon hai hum vikaashsheel desh 
jab ban sakte the vikasit desh 

aaj bhi hai desh mein bhrashtachaar 
aaj bhi ho rahe hai atyaachaar 
bhaarat maa ko laa kar aansuon ke kagaar

phir bhi mana rahe hai svatantr hone ka jashn 
bas apne dil se poocho bas ek hi prashn 

na poocho kya kiya hai desh ne hamare liye 
bas poocho kya maine kuch kiya hai desh ke liye 
..............

daftar ke kaam mein vyast
parivaar ko na de pa rahe hai waqt

paise ke liye lagi aisi daud
guzar gaye zindagi ke saare mod

hai badi gaadi, ban gaya hai alishaan ghar
par use anubhav karne ka waqt hai kidhar??

paaya hai sab kuch zindagi lo lutakar
par kya mila aanand ye sab paakar??

kya khushi khud degi humhe nimantran?
jab hum na nibha paaye kaam aur ghar mein santulan

kamaiye itna paisa jo de zindagi ke saare sukh
par usi ko na banao pramukh 

guzar gaya jo waqt milta nahi hai kabhi 
jee lo zindagi isi pal mein sabhi 

Tuesday, July 23, 2013

सावन

मयूर का नाच जैसे कत्थक
पंची ढूंढे घरोंदे का पथ
लगे हमे कुछ तीखा खाने का लथ

बूंदों का शोर जैसे संगीत
भुला दे सार अतीत

खिले फूल जो खींचे हमे अपनी ऒर
पत्ते भी झूमे जैसे कोई मोर

आसमान में खनके बिलजी की तार
इसी सुन्दरता ने दिया हमारे ज़िन्दगी को सवार

धुल गयी मन की साड़ी कडवाहट
अस सुन सके है अपने दिल की सच्ची आहट

बरसात में धुल गए हमारे सारे घम
ख़ुशी का एहसास अब हुए है मद्धम

Beti

maa deti hai hame jeevan 
behen se hota hai pyaara jhagda sampann 
biwi karti hai aapke jeevan ko sampoorn 
beti choo jaati hai aapka aatmann

aurat ke kai roop tumhe hai sweekar
beti ko kyon karte ho inkaar???

kya hota agar sabhi ne maana hota beti ko bojh??
kyon dete ho sirf aurat ko hi dosh???

kya de sakte ho is baat ka pramaan 
beta rakhega hamesha aapka maan???

bacche laate hai jeevan mein khushi ka pitara
beta beti dono hi ban sakte hai aapka sahaara

beti se khilta hai ghar ka aangan 
bichaade wo aapki zindagi mein rangon ka saawan 

kanya brun hatya sabse bada paap
kyon baandh rahe ho apne sir pe ye shraap??
dost ki aas

dost ne kiya tha humse ek farmaan 
saawan par kavitha likhu ye the aapke armaan

mausam hai suhaana
dil ne cheda shabdon ka taraana
nibhane chale hai apna yaarana

unka intezaar ab laaya rang
jaise gaa rahe hai baadal leke bijli ko sang
aapke ye vichaar sun reh gaye hum dung

aapke shobdon mein chalke aapki swabhavikta
aapke dil mein bhi chupi hai koi kavitha

aapke dil mein hai shabdon ka samander
jise chede har choti leher

har ek ki zindagi mein aata hai naya seher
intezaar hai us pal ka jab kavitha mein bun jaaye aapke shabdon ki leher

chupi hai aapme ye anokhi kala 
pehchano use banao apne jeevan ko khushiyon ka mela

aap ban jaoge kaviyon ke duniya ke sher
apne kala ko pehchan ne ki hai der

taaron se sajaa hai aasmaan
aapke dil se hai chamak ka paimaan
aap dete ho shabdon ko nayi pehchaan

Sunday, July 21, 2013

kaid Panchi....

azaadi ka doosra naam 
khuli aasman mein udti thi koi gumnaam 

har paudha mera basera
suraj ki pehli kiran se hota tha mera sawera

naa jaane kahan se aaya ek shikari
ban gaya meri sundarta ka pujari 

uske taareefon pe jo rahi thi mein uchal
na samajh paayi uska chal

meri azaadi par pad gayi zanjeerein
ab meri duniya thi pinjare ki chaar deewarein

mil jaate hai roz anaaj ke chaar daanein
par khushi se hoon begaanein

kosti hoon apna naseeb
sochti rehti hoon pinjare se nikalne ke tarkeeb

dikhata hai sabko meri sundarta ki tasveerein
nachata hai mujhe apne ishareein

jis khushi ki thi mein paribhaasha
usi ko wapas paane ki hai aasha

ab reh gaya hai ek hi sapna
khuli aasmaan ko bana loo apna

Tuesday, July 9, 2013

baal vivah

sundar tha jaav ka wo drushya
sagi thi wo jaise swarg hua ho pratyakshya

sehre mein dulha 
ghodi pe sawaar chala

dulhan ke libaaz mein nanhi pari
lag rahi thi us swarg ki rajkumari

par jo dekha usse reh gaye hum hairaan
un zindagiyon ke liye pareshaan

jo laga tha hume gudde gudiyon ka milan
tha wo masoon zindagiyon ka ek prakaar ka maran

chal rahi thi baal vivaah ki prakriya
wah de rahe the ek duje ko mubarak aur ada kar rahe the shukriya

un bachaon ki aankhon mein ajeeb si ghabrahat
bas suni maine unke dilon se naye kapde aur gehno ke khushi ki aahat

na kare koi use rokne ka prayatn
kya kabhi aayega unke soch mein parivartan??
kyon na kare koi badlav ka yatn???

dekhi jo baal vivaah ko pratyaksha
zehen mein thi un nanhe masoomo ka bhavishya

kyon hai aaj bhi ye kupratha jaari
badlaav ki lete hai ab yeh zimmedari...................