Sunday, July 21, 2013

kaid Panchi....

azaadi ka doosra naam 
khuli aasman mein udti thi koi gumnaam 

har paudha mera basera
suraj ki pehli kiran se hota tha mera sawera

naa jaane kahan se aaya ek shikari
ban gaya meri sundarta ka pujari 

uske taareefon pe jo rahi thi mein uchal
na samajh paayi uska chal

meri azaadi par pad gayi zanjeerein
ab meri duniya thi pinjare ki chaar deewarein

mil jaate hai roz anaaj ke chaar daanein
par khushi se hoon begaanein

kosti hoon apna naseeb
sochti rehti hoon pinjare se nikalne ke tarkeeb

dikhata hai sabko meri sundarta ki tasveerein
nachata hai mujhe apne ishareein

jis khushi ki thi mein paribhaasha
usi ko wapas paane ki hai aasha

ab reh gaya hai ek hi sapna
khuli aasmaan ko bana loo apna

No comments: