Sunday, October 13, 2013

Devi maa 

jo na kar sake aam aurat ki izzat 
kya maata ki puja kar ho jayenge apne paap se mukt

ghar ki lakshmi pe jo karte hai zillat 
dhan lakshmi ki puja kar mil jayegi unhe daulat 

saraswati maa se karte ho gyaan ki prarthna 
ghar ki beti karte reh jaati hai vigyaan ki yaachna 

devi maa ki puja hai isi samaaj ki reeti
phir bhi aurat ko sehna pade hai samaaj ki har kureeti

maa jo dhaaran kare shakti ka roop
kya koi bach paaya tha unka prakoop

aurat par karte rehte ho atyaachar
na dikhaoge agar badalne ke aasaar
yaad rakhna durga bhi hai maa ka hi avtaar
bhaari na pad jaaye stri ka prahaar

Saturday, October 12, 2013

suhana shaam 

daftar ke kaam se nahi hoti thakaan
bus mein safar kar deti hai hume bejaan 

din ki shuruwaad karte hai chehre pe lekar hasi 
anth lagta hai na jaane kis gali mein hoon phasi 

har gali lagti ek samaan 
hal pal rab se karte ek hi farmaan 
jaldi aajaaye hamara makaan 

aaj tha alag kuch 
lamba safar mano lagaa tuch 

Baarish ladaaye humse laad 
mitti ki khusboo ke aad 

maano kar rahe the hamara swaagat 
rang laayi hamari mehnat 

tay kar itna lamba safar
yataayat ke rukaavat ko door kar 
pahunch gaye apne ghar 

Intezaar kar raha hai hamara maqmali bichona 
le jaane hume sapno ki duniya 
bun ne apna ek sundar aashiyaana 

Wednesday, October 2, 2013

26/11

agar itihaas ka pathan hoga 
ye uska sabse bhayanak din kehlayega 

aasaan tha aatankvaadi ka aana is oor 
desh ki suraksha jo thi itni kamzor 

leopold aur taj ki jo hum dete te duhaai 
wahi mach gayi tabaahi 

the jo mumbai ke aan baan shaan
rang gaya lahoo se uska ghirebaan

ak47 jo tha aatankvaadiyon ka sahaara
use kya de paata apne sipahio ka chadi koi kinara???

karne lage goliyon se prahaar
ho gaye masoom unke shikaar

desh mein tabaahi unka maksat
kai jaan bhar rahe the uska keemat

sena ho gayi tainaat
aatankvadiyon ko le liya apne hiraasat

aaj bhi karte hai hum unse aman hi aasha
kab tak sahenge unke aatankvaad ki bhaasha??

dena hoga unhe muh tod jawaab
pura karna hai unke aatankvaad ka hisaab

As i was watching the movie attacks of 26/11 which i couldnt even watch till the end, which shook me off, just couldnt imagine how could have people seen it all and survived it, able to take the pain........

Thursday, September 26, 2013

Badlaav 

ek nayi subah aur ek naya safar
manzil par tiki hai nazar

anjaani raahon ne khole hai baahein 
na jaane kahan le jayengi ye raahein 
bas badhte jaana hai ab humein 

is mukaam par karna hai bohot kuch haasil 
is waqt sab kuch tay kar paana hai mushkil 

har badlaav hai manzoor 
wahi hai zindagi ka dastoor 

nahi hai ab kahi rukna 
hai zindagi se bohot kuch seekhna 
waqt ke saath hai ab chalna 
tabhi sambhav hoga manzil tak pahunchna

Sunday, September 15, 2013

Ummeed

har din hota hai naya sawera

par nahi door hota hamare zindagi ka andhera

bhatak rahe hai har anjaan gali 
safalta ki mohar to kahin nahi lagi

khalne lage hai sabhi ke sawaal
haath mein liye ummeed ki mashaal 
tayaar hai ladne ye bawaal

khone lage the jab vishwas
tab hua hame ye ehsaas 
nahi khoni hai zindagi mein aas 
bas karte rehna hai prayaas
chakne milegi safalta ki mithaas 

aankhen tiki hai manzil ki pathak 
sookh gaye hai saare ashk 
taqdeer bhale hi kare kathak 
khushi ko to ek din dena hi hoga dastak 

dard ko hi banaye apni taakat 
dil mein jagaye hai himmat 
khud hi denge apne jeevan ko arth 

Saturday, September 7, 2013

Ganesh maharaj ki jai :) :) :)

chaturthi ka din bhadrapad ke maas
hai hamare liye bohot khaas
aapke aane se jagti hai dil mein nayi aas

aate ho bas 10 din ke mehmaan bankar
jaate ho hume saal bhar ki yaadein dekar

aapke roop ka matlab hai apaar
samjha de sabhi ko jeevan ka saar

aapke is roop ka karte hai varnan
sabhi kar jaaye iska samarthan

seersh itna bada jo lekar chalte ho
vishaal buddhi se sochne ki seekh dete ho

chote chote netron se jo dekhte ho
ekagrata ka mahatv sikhate ho
sookshm drusthi se har cheez ko samajhne ki seekh dete ho

soond hai shakti ka prateek
har kaarya ko nipunata, anukulit kshamata se karne ki seekh

ek dant ka ye hai mahatv
atcha rakh bura nikhal phekne ka dete ho tatv

bada pet jiska hai gol aakar
jeevan mein khushi aur gham dono ko karna eksaa hai sveekar

ek haath mein liye kamal
kali se phool ban ke hi hota hai jeevan safal

dooje haath mein liye modak
kaarya ko sampann jo kare mile use paaritoshik

teeje haath mein liye gadha
burai ko dand dena hai sadaa

chauthe haath se jo dete ho aashirvaad
usi se bana hai jeevan mein himmat aur unmaad

mooshik ko banakar apna vaahan
itchaon par rakhna hai niyantran

samjhe jo aapke roop ka mahatv
samajh jaaye jeevan ka asli tatv

parvati pataye mahadev ke aap nandan
seesh jhuka kar karte hai sabhi aapka vandan

Tuesday, August 13, 2013

Janm din ki dhero badhaiyan Soham :):)

jiski ek hasi se bhool jaaye hum saare gham 
naam hai uska soham 

chotu, nautanki, appu, aise hai tumhare kai naam 
tum har din laaye masti ka ek nayaa paigaam 

thi hamari alag hi ek duniya 
ab tum ban gaye ho iske mukhiya 

vidhya budhi mein tum lage unki hi chaaya
jin ganeshji ka naam tumne hai paaya 

bachpan hai tumne hame lauta diya
tujhse apne kuch shouk humne poora kiya

maa ki aankhon ka taara
hum sab ka raajdulara

aaj hue pure tere teen saal
hamesha rahe tu yuhi khushhaal