Friday, November 22, 2013

Sachin Tendulkar

jiske kaaran khel ko maana ja raha tha dharm 
aaj toota sabka wo bhram 

maidaan mein tumhara aagaman 
chauke chakko ka saja dete the chaman

aaj hai sabki aankhen nam 
tumhare retirement par sabko hai gham 

swarn se badhkar hai tumhari khyaati
tumsa na jameyega koi ab ye reeti

tumse mili thi is khel ko nayi disha
tumne paaya khel ke bhagwaan ka darja

aaj se maidaan mein hoga khaalipan
balle pe na hogi tumhari darshan
na bhadenge kisi gendbaaz ke dil ki thampan

jisne de thi bharatiya cricket mein ek nayi paigaam
Sachin Tendulkar hai uska naam

Sunday, November 3, 2013

Tyohaar............. 

Har tyohaar ka hai ek arth 
Na samjhi mein manaana hai vyarth

Buraai par atchai ki jeet hai har parv ka sandesh
Buraai se darr sehme rehne ki hi milte hai aaj kal hume upadesh

Sikhao dat kar saamna kare har mukabla
Na banao har ladki ko kamzor abala 

Soch ko karna hai vikasit
Sajne sawarne se na rehna hai seemit

Jis din kar paaye apne hi zindagi par adhikaar
Us din hoga asli tyohaar
Happy Diwali

har tyohaar ka hota hai mahatya
jo sikhaye jeevan ka asli taatparya

diyon ki roshni door kare amaavasya ka andhera
vigyaan ki jyothi se karo jeevan mein ujiyaara

aurat ki puja hai jis desh ka rivaaj
wahi har doosre din uski beizzati karta hai ye samaaj

taaron ki timtimati chamak
kahe humse har andhere mein bhi dikhe hai pathak

hal pal mein khushi zindagi ki asliyat
pathake bhi sikhaye yehi haqeekat

lakshmi maa ki puja aur pathako ki ye raat
laaye har kisi ke jeevan mein khushi ka saugat

deti hoon diwali ki harthik shubhkamanayein
har pal mein khushhaali rahein

Saturday, October 26, 2013

barsaat mein ek shaam

hulchul jo machaaye aaj barsaat
thap ho gayi yaatayaat

har jagah bas bhopu ki shor 
naa chalta waqt par hamara zor

bus mein latke the yatri
shaam se hone chali thi raatri

ghar pahunchne ki sabko thi jaldi
kaat kar lambe safar ki avadhi

koi joojh raha tha zindagi aur maut
phir bhi lagi thi ambulance se sabki daud

maana sabko ko hai kai zaroori kaarya
par kya zindagi se badh kar hai anivaarya???

naa tha us rogi se koi rishta
bas tha insaaniyat ka naata

isi soch mein jo udaas tha dil
saamne aaya kisi mantri ka rakshak dal

naa jaane kaise chune hai humne neta
jinme na hai koi samvedansheelta

kya insaan hamesha hi tha itna kathor dil??
naa jaane kahan hai wo badlav ki manzil

Sunday, October 20, 2013

talaash

har din ek naya chehra
chupa kar sach koi gehra
baandhe hai hasi ka pehra
khud ki hi zindagi se gavara
lagta sabhi ko hoon koi awara

bhatak raha hoon dar badar
har gali aur har sheher

dil ko hai kisi ki khoj
na hai uske bina koi mauj

sabhi ka hai saath
lekin nahi chalakte hamare jazbaat

na jaane kiska hai talaash
har pal dil to hai niraash

har pal hai dil mein tanhaayi
door ho ho gayi hai humse hamari hi parchaayi

apne hi aatma se jo ho gaye hai door
duniya ke tareeko se reh gaye hai majboor

Sunday, October 13, 2013

Devi maa 

jo na kar sake aam aurat ki izzat 
kya maata ki puja kar ho jayenge apne paap se mukt

ghar ki lakshmi pe jo karte hai zillat 
dhan lakshmi ki puja kar mil jayegi unhe daulat 

saraswati maa se karte ho gyaan ki prarthna 
ghar ki beti karte reh jaati hai vigyaan ki yaachna 

devi maa ki puja hai isi samaaj ki reeti
phir bhi aurat ko sehna pade hai samaaj ki har kureeti

maa jo dhaaran kare shakti ka roop
kya koi bach paaya tha unka prakoop

aurat par karte rehte ho atyaachar
na dikhaoge agar badalne ke aasaar
yaad rakhna durga bhi hai maa ka hi avtaar
bhaari na pad jaaye stri ka prahaar

Saturday, October 12, 2013

suhana shaam 

daftar ke kaam se nahi hoti thakaan
bus mein safar kar deti hai hume bejaan 

din ki shuruwaad karte hai chehre pe lekar hasi 
anth lagta hai na jaane kis gali mein hoon phasi 

har gali lagti ek samaan 
hal pal rab se karte ek hi farmaan 
jaldi aajaaye hamara makaan 

aaj tha alag kuch 
lamba safar mano lagaa tuch 

Baarish ladaaye humse laad 
mitti ki khusboo ke aad 

maano kar rahe the hamara swaagat 
rang laayi hamari mehnat 

tay kar itna lamba safar
yataayat ke rukaavat ko door kar 
pahunch gaye apne ghar 

Intezaar kar raha hai hamara maqmali bichona 
le jaane hume sapno ki duniya 
bun ne apna ek sundar aashiyaana