Friday, March 7, 2014

Women's day-- just a myth 

Seene mein sulagti aag 
Mit na payenge kabhi ye daag 

Kisi na kisi roop mein roz hota hai stri ka balatkaar
Kabhi tan pe lage zakhm to kabhi daba kar uske vichaar 

Har din kisi na kisi roop mein sehti hai zillat 
Kabhi kamzor maankar ya kabhi lootkar uski izzat 

Laga kar hamare dil mein dard ki chingari
Nahi bach payega koi bhi atyachaari

Nahi samjhe aisa hoga ikkisvi sadi ka sansaar
Jahan har din stri ko karna pade prahaar

Bekhauf jeevan hai hamari khwaish
Kab samjhega koi hamari ye guzarish

Na do hume jhote khushi ki kaamna
Banakar women's day ka bahana

Jis din samjhoge stri purush samaanta ka mahatv
Us din se hoga women's day ka astitv

Wednesday, February 26, 2014

...........

Chaye zindagi mein jab gham ka badal 
Himmat se karo use ojhal 

Kamzori ko jo dete hai apni zindagi ka hukumat
Wahi sharab ke sahare se paate hai himmat 

Kya sharab deta hai gham mein sahara? 
Phir bahengi har nukkad par sharab ki dhaara 

Jab khudi par na hai bharosa 
Sharaab se kya paoge dilasa

Dekhe hai kai jhagde
Isne to bas rishte hai bigaade

Bhulane kuch pal ke liye apne gham
Sharab ko banakar apna humdum
Na khona zindagi ka sayyam
Telangana 

Ban ne ja raha hai telangana 
Na kar sake is nirnay ko saraahna 

Na samjhe kya hai is rashtra ka bhavishya 
Andhra se bhai chara na hone dena hai adrushya 

Bharat ke bhavishya ke liye nahi liye gaye the koi nirnay 
Jab hua hamara azaadi se parichay 

Aaj telangana hai usi raah par 
Rashtra to ban gaya hai magar
Vibhajan ka shuru bhi ho jayega safar
Aaj bhi na samjhe bhavishya par iska asar

Ban kar na reh jaaye ye netao ki jeet
Unnati ki raah par chalne ka shuru kare reet

Saturday, February 15, 2014

Valentine month :P 

Na do taane suna kar romeo juliet ki daastan
Pyaar ke liye agar romeo ne khoya apna jaan
Juliet ne bhi na becha tha apna imaan

Aaj jab mard pyaar mein poora karna chahe apne hasrat
Hum bhi rakh sakte hai aise hi chaahat

Dil se sanjote hai hum rishte
Dard bhi seh lete hai haste haste

Na kehna hamesha ladki gayi mujhe chod
Kabhi sochna kitne tukdon mein kiya uske dil ko tod

Rishton ka judna tootna to hai kudrat
Dil todna nahi hoti sabki fidrat

Monday, January 6, 2014

2013 ka safar 

chalo daalte hai beete kal par ek nazar 
2013 ka khatam hone chala hai safar

aatankvadi hamle se goonj utha tha hyderabad 
desh ki suraksha dal tab hui tainaat 

nirbhaya ne kanoon par lagayi nayi mohar 
us haadse ne macha diya desh mein gadar 

ladki par zulm se hi kyon dete hai mardangi ka pradarshan 
har ladki ki awaaz bani ladai ki garjan

jisne kiya itna bhayanak soshan
na bach paya dekar katchi umr ka kaaran

janam dene wale hi kar rahe hai hatya
aarushi ke jeevan ka bana ye bhayanak satya

khel se jud gaya tha jinka duja parinay
aaya unhi ke nivruth hone ka nirnay
Sachin ne kar diya sabko vismay

rangmanch ke kai mahaaan hasti
chod gaye dekar unke yaadon ki smriti

desh ki raajdhaani mein bani AAP paksh ki sarkaar
vahi AP mein aaj bhi vibhajan par kar rahe hai haahaakar

hone chala hai telangana raashtra ka nirmaan
dekhna hai kya hoga iska parinaam

prakruti ne bhi dikhaya apna alag andaaz
global warming hai iska raaz

2013 ne dekhe kai utaar cadhaav
har din paar karte naye padaav

2014 ka hua hai aagaman
bani rahe desh mein shaanti aur naman
burai ko door kar khushiyon se bhar de ye chaman

Saturday, December 21, 2013

.............

Ek hi pal mein jud gaye kayi rishtey 
Zindagi ke hai ye naye kishtein 
Phir bhi dil ko sataaye apno ke yaadein 

Apna kehne hai ek ghar 
Phir bhi sataaye us aangan ki yaad jisme beeta jawani ka safar 

Waqt guzar jaata hai nibhate har naye rishte ki zimmedari 
Phir bhi rehti maa ke aanchal ki baawri

Har subah maa ke haath ki chaay
Na jaane phir kab milne paay

Na kabhi poori hoti hamare itchao ki suchi
Kabhi pakode to kabhi bajji

Maa pura karti hamare dil ki har arzi
Aaj hum pura karte hai kisi ki marzi

Ghar ke har kone mein chupi meri yaad
Lagaane chale hai naye rishte ki buniyaad

Jaante hai nahi kam hoga apno ka pyaar
Mann phir bhi tarse paane wo dulaar

Chod chale hai har rishta peeche
Piya ka pyaar hi ab is dor ko seenche
Aakhri khwaish

Diye ja rahi hoon sabko akhri salaam
Sabko mera pranaam

Aap sab se thi jeevan mein jo khushi ki lehar
Un sabhi yaadon ka dil mein apaar saagar 
Anth hone chala hai ye safar 

Galatiyon ki maafi chahti 
Har rishte ke pyaar ko samet ti
Shayad koi taara hi ban jaati

Kabhi na bahenge aapke aansu karke mujhe yaad
Kyon ki har pal karti hoon aapke khushi ki fariyad