Friday, December 1, 2017

Shuru kiya tha maine ye naya safar
Mann mein basaye sapnon ka leher

Ban na chahti thi tumhari muskurat
Par kai baar mujhe sirf mila aapka gussa aur aapki jhunjhunahat

Tum sang banaana chahti thi apni alag pehchaaan
Naam badalne se nahi badal paate mere nishaan

Kitni raatein kaati hai tumhare pyaar ke liye taraste
Na jaane kab ek honge hamare ye raastein

Nahi ho tum meri zaroorat
Karna chahti hoon apne is rishte ki ibaadat
Kaash kabhi samajh paate mere dil ki chahat

Na jaane kab apne rishtein mein ghul gaya paise ka tol mol
Ban ke reh gaya hai wahi apne beech ka jhol

Jeena chahti hoon bas pyaar ka wo ehsaas
Gholna chahti hoon is rishtey mein bas mithaas

kuch chahatein aur kuch takraaroan mein guzar gaya apna ek saal
Aage ki zindagi pe na bhaari pade ye kaal

Lehraate rahe pyaar ke wo taraane
Zindagi ke gehraayi tak ho apne rishte ke saraahane

Likhna chahti hoon is rishtein ki sukhad kahani
Kaash tumhare mann ki bhi ho yehi zubaani

Friday, January 27, 2017

Beti Bachao????

Din ki roshni aur raat ka andhiyaara
Guzar raha tha waqt par na tha zindagi mein koi ujiyaara
Kya thi uske dil ki baat
Na jaane kaise jhoonjh rahi thi wo ye haalaat
Na bata paati kisi ko apne dil ki saugaat
Asaphal ho chuke the uske prayatn
Jab uske apne hi kar rahe the use khamosh karaane ke jatan
kisi ko na thi uske haal ki parvah
Samaj mein izzat, bas yehi thi unki chaah
Baalyavasta mein seh rahi thi kisi apne se shoshan
Phir bhi zubaan par taale jade rehne ka kiya gaya tha uspe shaashan
Jab ghar pe nahi hai use koi suraksha
Kis se kare wo aisi aakanksha
Jis samaj mein banaye rakhna chahte ho izzat
Us samaj ab nahi rahi koi insaaniyat
Badal gaye hai sabhi ke niyat
Nahi samajh payegi wo kabhi, jahan nahi rahi koi atchai
Kyon us samaj ki diye ja rahi thi use duhaai
Kya sirf beti ke janm se juda hai ye sandesh, nahi samajh pa rahe hai insaan ka nazariya
Jab sun rahe hai beti bachao ka naara

Thursday, October 27, 2016

Miss you Rashmi akka 

yaadein bhulana nahi hota itna aasaan 
agar hota toh na karte hume wo har roz pareshaan 

Deepavali ka parv ab nahi lagta mazedaar
Jo taaza karde zakhmon ka wo bhandaar

badal gaya us din saara maahol 
udaas lagne laga tha saara bugol 

us pal se aaj tak zindagi mein hai khaalipan
wahi yaadein hai ab us beetein dino ka darpan 

Na laa paya ye parv dil se chehre par muskuraahat 
bas ubhar kar aate hai un palon ki ghabrahat

Saturday, October 1, 2016

Mausam hai suhana
Dil hua shaayraana
Bune hai khayalon ka aashiyaana

Mann mein jaage ek guzaarish
Baadalon ko chumne ki hai khwaaish
Par chupi hai isme bhi kudrat ki koi saazish

Chal raha hai zindagi mein aisa sangharsh
Nahi jaante kahan milega hume utkarsh
Mausam aur badhaaye hamara ye kashmakash

Waqt aisa guzra ki pata na chala kab beeth gaya saawan
Daftar ke computer ke saamne hi guzar gaya hamara saara youvan

Sunday, August 7, 2016

Jab dil ke jazbaat ban jaate hai mazaak
tab wo rishte bhi ho jaate hai napaak

kisi ke liye pyaar hota hai ibaadat 

kisi ke liye bas waqt ke saath badalne waali aadat

inhi napaak logon ka toh hai taraana

sacha pyaar karne walo ka yahan na ban payega koi aashiyaana 

meri ibaadat na samajh paoge tum 

is bedili udaasi mein kahin kho kar rehjayenge hum 

phir na karna humse kabhi pyaar ki baat 

khohkle ho gaye hai ab hamare bhi jazbaat 

Monday, April 18, 2016

गु-गुम है मुस्कराहट के पीछे जिनकी बातें
रु-  रूह से चुने है जिसने अपनी आदतें
स्-स्वप्न के ख्यालों में सजाये है शरारतें
ने- नेमी से कुछ अलग करने की है जिसके हसरतें
हा- हालात के परे सोचने की रखती है इरादे

लिखने चले है जो नयी ज़िंदगानी
गुरु स्नेहा की बनेगी अलग एक कहानी

थोड़ी नोक झोक थोड़ी मस्ती
ऐसे ही सजे हमारी कश्ती

प्यार हो इस रिश्तें का सार
दोस्ती से शुरू हो इसका करार
नए सफर का मिल कर करे ऐतबार
jab pehli baar suni unki aawaaz 
anokha laga unka mizaaz 

kai anokhi vishayon mein rakhte hai ruchi 
khaane mein bhi hai unhe khaas abhiruchi 

pehli parichay se pata chala thoda unka astitv 
aatma niyantrit, shaat swabhaav, sundar muskaan hai unke khaas tatv 

is parichay ka kya hoga parinaam 
tha wo mere hast rekhao ke naam 

poochi gayi meri bhi marzi 
pata chala sab hai is rishtey ke liye raazi 

par mann mein tha ek vichaar 
kaash wahi kar dete is marzi ka izhaar 

shuru hui hamari baatein 
bun ne lage naye rishtein ki buniyaadein

alag hai inka andaaz 
kabhi na jataate apne dil ke ehsaas 

na kehkar bhi keh dete hai apne dil ki baat 
aise hi toh jude hai hamare dilon ke jazbaat 

sagaai se shaadi ka suhaana tha safar
dikhe kuch unsuni unkahi baaton ka asar 
shaadi ke baad anokha tha dagar 

ajnabee se ban gaye jeevan saathi 
isi beech pata nahi kab ban gaye poore jazbaati 

peeche mud ke agar dekhu aaj 
samajh aate hai hamari baaton mein chupe raaz 

alag the hamare pyaar ke rang 
zindagi ko hum banayenge sundar tarang