Monday, April 21, 2014

Ab ki baar modi sarkaar 

itne saalo ki congress raajneeti 
nahi nazar aayi desh ki unnati 

yuva bharat ke vote par hai jiske aankhen jami 
sooj booj, gyaan budhi ki dikhe hai jisme kami 
aisa neta bas badha sakega kursi ki garmi 

jo na nibha paaye ek rashtra ka kaarya charya 
kya wo laa payega desh mein anucharya 
nahi dekhna chahu hadtaalo se ghera raajya 

aam chai wale se jo ban gaye hai bade neta raajnaitik
budhi matta aur chaaturya ka jiske diya hai prateek

chahiye aisa neta jo nibha sake desh ki pragati ka bhaar
jise na ho bas apne matlab se pyaar

desh ki unnati jiska hai mool aadhaar
chahiye hume aisa sarkaar
bas ab ki baar modi sarkaar

Saturday, April 5, 2014

Bhartiyata.....

apne rudhivaadi vichaar dhaara ko dekar desh ka naam 
kar rahe hai desh ko badnaam 

ladki ka utcha bolna anaitik 
ladki ka khul ke hasna asaanskrutik 
aadhunik vichaar dhaara rakhna asaamajik 

kyon ladkiyo ke liye hi banaye gaye hai niyam??
kab tak nibhaye aapki satta ka bhram??

maanti hoon mila hai bhaarat mein beti hone ka shraap 
shayad kiya hoga koi paap 

ab nahi sahi jaati ye zillat 
waqt aa gaya hai dikhau meri taakat 

nahi rok paoge meri vichaar dhaara 
nahi sehna bharatiya naari hone ka naara 

mere vichaaro par bhi agar karna chaho hukumat 
nahi karti mein aise mard ki izzat 

bharat mein mard ho kar mil gaya hoga tume shaasan 
par samjho aaj ki bharatiya naari nahi hai abala jo sahe tumhari shoshan 

Sunday, March 30, 2014

Chunaav (Elections) 

Har jagah hai election ka shor 
Na jaane kiske pankh lagega ye mohr

Chunav se pehle har koi deta hai upanyas 
Nahi nazar aata unka desh ki unnati ke liye prayaas 

Desh mein ban gaye hai darzano party 
Har party ki ek hi neeti 
Khud ka vikaas aur khud ki pragati

Delhi ne di aam aadmi party ko hukumat
Aaj shayad khud ko aam aadmi kehte karte hai nafrat

Hisson mein bat raha hai desh
Phir bhi pehne hai bhinnata mein ekta ka vesh

Modi sarkar par hai sabko bharosa
Hum bhi yehi maan kar dil ko de rahe hai dilasa

Chahiye aisa neta
Jo samjha sake ek jhut hone ki mahaanta
Bana sake desh mein unnati ko ek pratha

Sunday, March 23, 2014

आत्मा हत्या घोर पाप 

क्या आत्मा हत्या ही है हर मुक़श्किल का समाधान 
ऐसा होता तो क्या जीवित रहता कोई इंसान 

माना घम्  में खो जाती है सोचने कि क्षमता 
आजाती है ज़िन्दगी में उदासीनता 
ज़िन्दगी को बटोर कर क्या नहीं दिखा सकते थोड़ी सहनशीलता ???

माना ज़िन्दगी के एक मोड़ पर हुए है असफल 
पर क्या ज़िन्दगी हमेशा होगी युही निष्फल??

उस एक पल कि कमज़ोरी 
क्या कर देगी हमारी ज़िन्दगी अधूरी??

माना सपने टूटने का दर्द सहना है मुश्किल 
पर क्या एक ही सपना है ज़िन्दगी कि मंज़िल?
क्यों न करे दुसरे सपनों को हासिल??

जी जा तू वो एक कमज़ोर पल 
ज़िन्दगी हो जायेगी सफल 
बिखर गया तू अगर उस पल 
जीवन ही हो जायेगा ओझल 

मुस्कुराकर जीने का नाम ही है ज़िन्दगी 
हक़ीक़त हो जाएगी तुम्हारी बंदगी 

Friday, March 7, 2014

Women's day-- just a myth 

Seene mein sulagti aag 
Mit na payenge kabhi ye daag 

Kisi na kisi roop mein roz hota hai stri ka balatkaar
Kabhi tan pe lage zakhm to kabhi daba kar uske vichaar 

Har din kisi na kisi roop mein sehti hai zillat 
Kabhi kamzor maankar ya kabhi lootkar uski izzat 

Laga kar hamare dil mein dard ki chingari
Nahi bach payega koi bhi atyachaari

Nahi samjhe aisa hoga ikkisvi sadi ka sansaar
Jahan har din stri ko karna pade prahaar

Bekhauf jeevan hai hamari khwaish
Kab samjhega koi hamari ye guzarish

Na do hume jhote khushi ki kaamna
Banakar women's day ka bahana

Jis din samjhoge stri purush samaanta ka mahatv
Us din se hoga women's day ka astitv

Wednesday, February 26, 2014

...........

Chaye zindagi mein jab gham ka badal 
Himmat se karo use ojhal 

Kamzori ko jo dete hai apni zindagi ka hukumat
Wahi sharab ke sahare se paate hai himmat 

Kya sharab deta hai gham mein sahara? 
Phir bahengi har nukkad par sharab ki dhaara 

Jab khudi par na hai bharosa 
Sharaab se kya paoge dilasa

Dekhe hai kai jhagde
Isne to bas rishte hai bigaade

Bhulane kuch pal ke liye apne gham
Sharab ko banakar apna humdum
Na khona zindagi ka sayyam
Telangana 

Ban ne ja raha hai telangana 
Na kar sake is nirnay ko saraahna 

Na samjhe kya hai is rashtra ka bhavishya 
Andhra se bhai chara na hone dena hai adrushya 

Bharat ke bhavishya ke liye nahi liye gaye the koi nirnay 
Jab hua hamara azaadi se parichay 

Aaj telangana hai usi raah par 
Rashtra to ban gaya hai magar
Vibhajan ka shuru bhi ho jayega safar
Aaj bhi na samjhe bhavishya par iska asar

Ban kar na reh jaaye ye netao ki jeet
Unnati ki raah par chalne ka shuru kare reet