Monday, September 18, 2023

Ganesh Chaturthi

Bachpan mein Ganesh ji ki sabse sundar moorat chunne ki karte the prayas 

Par aaj ki peedhi ko karaana chahte hai ye ehsaas 

Har tyohaar toh hai prakruti ke paas hone ka aabhaas 


Geeli mitti se murti banakar 

Har tarah ke phool pattiyon se use sajaakar 

Varsha rutu ka tu shukriya ada kar 


Dharti ke har kone mein hai sundarta 

Uske har roop ko banakar jashn, manaane ki rakh tu kshamata 


Mitti se bani Ganesh ji ki murti nahi ho sakti kabhi poornata ka prateek 

Wo aate hi hai dene apoornata ko sweekar karne ki seekh 


Is prakruti ka hamesha karna vandan 

jisse chale hai hamara jeevan 


Ganesh Chaturthi ki haardik shubhkaamanayein

x

Tuesday, July 4, 2023

Ek duje se hai anoka naata 

Sundar hai inke pyaar ka ye rishta 


Ek duje ke bina jeevan inka mushkil 

Saath mein bhi tanha rehne ke kaabil 


Nahi hai kisi bhaasha ki inhe zaroorat

Inke dil ka rishta hai itna khoobsurat


Apne hi duniya mein magn 

Saath ke har pal mein manaaye jashn 


Dosti kahe ya bhaiyon ka pyaar 

Samundar ki tarah bahe sadaa bahaar 


Sache mohobbat ki yeh hai nishaani 

Soham aur bean ki kahaani.... Meri zubaani 

Tuesday, May 16, 2023

Mother's day

 Ae duniya walo, chalo shuru karo maa ke tyaag ki kahaniyan 

Mother's day ka hai din, maa ki toh wahi hoti hai khubiyaan 


Chalo karte hai maa ke kai roopon ka gun gaan 

Tyaag, sahansheelta, mamta, inhi se toh joodi jaati hai uski maan 


Ghar ki har chote kaam ko banaakar uski zimmedari 

Daftar ke kaamo ki bhi toh hai jawaabdaari 


Inhi sab se baandh kar uski zindagi ka mahatv 

Kuchal diya gaya hai uska astitv


Phir bhi Maa, aaj social media mein badhaayenge hum tera maan 

Kyonki nahi badalna chahte asliyat mein teri pehchaan 


Par aaj ek maa kehna chahti hai is duniya se kuch 

Tere is mahaanta ka gungaan hai tucch 

Hum banaayenge humari zindagi, yehi hai sach 


khud ki khushi yehi rahegi meri pratham kartavya 

Khud ki zindagi mein banaaye rakhoongi apna mahatya 

Tuesday, April 5, 2022

 Hijaab... Poshakh


dharma niraa peksh hai hum... aisa kahe hai hamara samvidhaan
kya shaashan kar raha hai iska paalan???
ladki ke hijaab se kya hogi kisi ko dikkat
mard ki pagadi, aurat ki ghoongat par kyon nahi hote wo vyakt
Har kisi ko apni dharmik vichaardhaara rakhne ki hai aazaadi
aaj kyon us aazaadi par lagaayi ja rahi hai paabandi???
samaanta ki karte hai badi badi baatein
phir bhi dabaayenge aurat ke aage badhne ki koshishein
dharm yudh ched kar hi karna chahte hai paalan
kyon ki ek ho jaaye har naagrik toh nahi kar paayenge shaashan
mard ko banaaye rakhna hai apni satta ka bhram
na mile koi kaaran, hai hamaare paas dharam
aise aazaad bharat ki hum hai betiyaan
har pal sun paaoge hamare apmaan ki hi kahaaniyan

Saturday, December 18, 2021


Wah re zamaana

Aaj bhi chahe aurat hi sambhaale gharaana 

Uski itchaaon ko nahi milti zubaani
Kyon ki maan liya jaata hai... Wo toh degi kurbaani

Ghar ki khushi uska pratham kartavya
Khud ki khushi?? Kya rakhta hai ye mahatva???

Aaj kal toh badh gayi hai aurat se ummeedein
Ghar, naukri aur batcche.... sabhi tum sambhalein

Kal majboor thi chodne apna astitv
Aaj badnaam hai kyon ki banaaye hai apna astitv

Aurat ki zindagi ko hi usne bana diya hai jhol
Kash sikha deta use uski khushiyon ka mol

Na jaane kyon aurat ko ghoshit kar diya gaya hi tyaag ko devi
Nahi sahan hota aaj bhi agar ban jaaye wo apne khushiyon ki premi

Kai auraton ka shayad yehi hoga kehna
Par khush hoon unke liye jo kahe hai badal raha hai taraana

Sunday, July 4, 2021

 

Ae sarkar!!! Bas karna jaante ho bade aelaan
Desh vaasi ke mushkil se hamesha hi rahe ho anjaan
Ae Sarkar!!! kar diya demonitization ka aelaan
kiya tha desh se kaala dhan mitaane ka pramaan
nahi mita kaala dhan naahi door hui hamari pareshaani
bas dhal gayi thi hamare hi paise par paabandi
Ae Sarkar!!! kar diya lockdown ka aelaan
kya socha tha...kaise milega rozi majdooron ko wetan
maana lockdown tha zaroori
ek hi pal mein aise na badhaate berozgaari
kar dete unke jeevan ka koi prabandh
Laazmi tha desh ko karna band
Ae sarkar!! Kar diya har baalig ko teeke ka aelaan
kya is maatr mein teeka ho sake hai utpaad---- Is baat ki toh jaanch karte yajmaan
Phir aaya "Raajya sarkar hi kare teeke ke prabandh ka aelaan
mit gaya kendra sarkaar ka desh vaasi ki raksha karne ka pramaan
Kya mila hai in aelaanon ka manuchit parinaam??
Bas aam insaan ne bhugta hai in aelaanon ke dushparinaam
ek waqt tha... jab sarkar par kiya tha desh ko unchayi tak pahunchane ka bharosa
Aaj hamare us soch par hota hai afsoos,, aata hai gussa
desh mein berozgaari, bhrastachar mitaane ka khwaab
ban kar reh gaya hai sarkaar ka ek naquaab

#gocoronago

Toote hain kitnon ke sapne
Khoye hai kitno ne apne
Toot gaye kitnon ke ghar
Tham gayi kitnon ki jeevan safar
Reh gaye kitno ki zindagi adhuri
Cheen gayi kitno se khushiyan saari
Khoya hai kitnon ne apna jeevan aadhar
Nahi mile hai kitnon ko har mahine pagaar
Choot gayi hai kitnon se unki naukri
Karna padgaya kitnon ko jeevan mein na chuka paaye, itni udhaari
Reh gayi hai kitnon ke jeevan mein aasha ek choti
Mil jaaye har waqt khaane ki ek roti
Shaaririk roop se bhale hi reh paaye hai surakshit
Maanasik roop se har koi hai peedith
Har roop se insaan ab ho chuka hai behaal
Ae corona!!! Ho jaaye bas ab tera intekaal

Thursday, January 28, 2021

 Rashtriya Beti Diwas


Beti bachao ke naare ko badhava deta hai sarkaar
Isi dhaara mein dekhne milte hai ye vichaar
"Kaise khaoge unke haath ki rotiyaan
Agar paida hi nahi hogi betiyaan"
Itne ghatiya hai vichaar
Aur kiya bhi ja raha hai unka prachaar
Aaj bhi beti ko karna chahte hai rasoi se seemit
Aaj ki peedhi mein bhi karna chahte hai yehi pratigamit
Jab nahi maan paaye use apne ke samaan
Nahi reh jaata "rashtra beti diwas" ka koi maan
Ab toh mann se nikalti hai ek hi dua
Aise desh mein na ho kabhi betiyaan


Saturday, November 21, 2020

World Cup 2019

Kash Manchester mein gaata koi raag malhar
Bharat ki jat ho jaati ye peedi paar


Aaj jaise baadal bhi vyakt kar rahe the udaasi
Bharat ki world cup se hui hai Jo waapasi


Laga baithe the zyaade ki ummeed
Bhool gaye the... Khel mein lagi rehti hai haar jeet


New Zealand ki jat ne diya khel ka itna atcha pradarshan
Dete hai hum unhe khel jeetne ka abhinandan


Bharat nahi to ab New Zealand ka denge Saath
World cup ki trophy aaye is baar unhi ke haath

Gocoronago

Jinke sammaan mein bajayi gayi thi taali
Doosre hi din sunne padgayi thi unhe gaali


Aaj andhkaar kar mombatti jalaane ke hai vichaar
Na jaane aaj kya rang laayega ye vyavahaar


Taali bajaane kaha toh log khelne chale garbha
Toh kya aaj manaayi jayegi diwali aur phoda jayega pathaka???


Shayad doctor ko nahi chahiye aisa sammaan
Bas de do unhe is jang ko jeetne mein saath nibhane ka pramaan


Gharon mein kaid hai par khoye na hum sadbudhi
Ek doosre ka saath do... Jeetna hai sabko milke ye vipatti

Meri Beti.... :>

Panchiyon se baatein karti
Unhe apna dost hai kehti


Unse karti kayi sawaal
Un jawaabo se ubharte kai naye sawaal


Unhi ke aane se hoti uski subah aur guzarti hai shaam
Pahunchati hai untak har choti baat ka paigaam


Mere aangan mein kyon nahi aate.... Hoti hai unse naaraaz
Karti unse baatein chedti hai kai saaz


Bani rahe hamesha uski ye maasomiyat
Jeev jantu se mohobbat... Bane uski zindagi ki haseen haqueekat


Jise shuru kiya tha banakar lockdown mein waqt kaatne ki tarkeeb
Le aaya use prakruti ke itne kareeb

Mausam hua suhaana
Dil hua shaayaraana


Fridge se aayi ek awaaz.... "Kharab ho rahi hai mirchi
Kyon ka banaaye iski bhaji"


Baadal ne kaha "banaaya hai maine wo mausam
Badal se girte har boond se aaye nayi sargam"


Daana chugne aayi chidiya ne kaha "hume bhi de de mirchi ki bhajiya
Roj toh chuge saada chawal aur daana"


Mirchi ne kaha.... "Nahi chodunga mein apna saaz
Kaat kar kare mujhpe zulm.... Banaaye rakhunga apna teekha andaaz"


Zindagi ne kaha " har pal mein jab chupi hai jab ek nayi saaz
Kyon na karle har par in choti choti khushiyon ka aabhaas"


Saturday, April 28, 2018

Beti bachao !!!!

Jab desh ki beti par ho rahe hai har din atyachaar
Aapki nyaay pranali aparaadhi ko sazaa dene nahi hai tayaar
Kyon rakh raha hai sarkaar beti bachao ke vichaar

Police case darj karne lagaata hai waqt
Pooche jaate hai peedith se sawaal anginat
Aparaadi bach jaata hai paakar satta ki hukumat

Balaatkari ko bachaane mein laga rahe hai nyaayvaadi apni taakat
Aur karte hai unke in dushkarm ki wakalat
Kya aisi hi hai modi sarkaar ki hukumat?
Kya aise desh mein hai beti ki zaroorat????

Ye mukaddame bhi chalte hai saalo saal
Peedith bhuja dete hai apni ummeed ki mashaal
Aparaadi ho jaata hai nihaal

Kya sirf beti bachao ke naare se seemit hai aapke vichaar??
Ya asliyat mein beti bachaane ke liye kiye jayaange prahaar??

Monday, January 15, 2018

Nazariya

Zindagi nahi hoti aasaan ya mushkil 
jaisa apna nazariya waise hi chun lete hai saahil 

har pal mein agar dhoondenge khushi 
Toh har chidiye ki chu chu se bhi khil jaati hai hasi 

Agar dhoondne baithe bas gham 
phir har jhadte patte se bhi aakhein ho jaati hai num
Har us patte ki jagah nayi zindagi leti hai janm 
wahi hai kudrat ki niyam 

Zindagi bhi hai hasi aur ghamon ka sangam 
Jeelo ise jaise koi tarannum 

Na taraazo ise, aasaan aur mushkil ko banakar iska tol 
kyon ki har pal ka hai ek khaas mol

Wednesday, January 10, 2018

Chakravyuh

Zindagi naam ka ye safar
Jisme akele hi aana aur akele hi jaana hai magar

Raah mein judte gaye kai anjaane
Bante gaye naye afsaane

Har mod par hai kai nishaaniyan
Jinse judi hai anginat kahaniyaan

Kuch kahaniyan reh gayi adhuri
Kuch samaa gayi hamari jahan saari

Kuch rishton se hai zindagi mein khushi aur mazaa
Unke bina rehna mano lage jaise koi sazaa

Kuch rishton ke bina rehna lage mushkil
Unhi se toh judi pyaar ki wo hamari manzil

Kuch rishton ko nahi de paaye hum koi naam
Nahi samjhe kya hoga aise rishton ka anjaam

Kuch hai aise rishtein jinhe hum maante hai dil se khaas
Par unhe nahi mehsoos hote ye hamare ehsaas

Kuch aise rishte ban gaye the khaas
Jinka ab reh gaya hai bas itihaas

Kuch aise rishton ka bhi hai bhoj
Jinse joojh rahe hai hum har roz

Zindagi ke har panne pe bana hai aise kai rishton ka chakravyuh
Aur hum hai usme phase abhimanyu

Nahi pata kaise nikalna hai bahar
Akele hi aaye the akele hi jayenge magar...........

Saturday, December 30, 2017

Kya reeti riwaz, jaati dharm hi hai sabse ehem
kyon insaniyat nahi ban paaya kabhi ek dharm

pravalit hai har mazhab mein amaanveeya riwaaz
jin par nahi uthaye gaye the itne din awaaz

aaj agar ladh rahe hai wo paane apna haq
kyon nahi ban pa raha hai har koi unka samarthak

azaad desh mein rehti hoon, rehti hai har ladki is fareb ke saath
reeti yaad dilaye use, jakade hai maine tere haath

aurat ko maan kar lachaar, aaj bhi triple talaq ko maante hai hum mahaan
koi kanoon nahi rok paaya hume, hum toh aaj bhi dete hai dahej ki reeti ko maan

ye toh hue kuch hi udaharan
agar karte rahe inki baat, toh kai kisse aayenge hume smaran

agar in reeti riwazon ke pare insaan apnalega, insaaniyat ko apna dharm
maan lenge unnati ki taraf sab saath mil badha rahe hai hum kadam

This week has been quite a question on humanity, with the triple talaq bill in the LokSabha. Well yes, there were a few opposed the passage of the bill in the name of religion, and few others claiming to support the bill but deviating from the very fact and arguing that women need to be made aware of the endemics prevailing so that they dont think of divorce. Dint actually understand what the MP was actually trying to say........

There was other similar incident in the week on the occasion of Mukkoti Ekadasi. A visit to a temple made me feel, why had i been there. An old was working as a domestic help in the temple to make her ends meet. A renowed pantulu or achary what ever name we may call, asked her to get oil to light the diya. Once she was back he immediately asked her to get karpoor. When she reverted to it, his comment was "You are paid to do it"... Is money everything.....

Humanity has been dying a death everyday in some form or the other and we are still fighting for religion?????  Is religion above humanity and mutual respect in any case????

That day.. the only wish I made... "Let humanity prevail and let people get some sense this new year, that no religion is above humanity..."

Thursday, December 7, 2017

Kaise koi kare desh ki nyaay pranali par bharosa
Jab nahi de sake wo insaaf ki aasha

Talwars ke muqaddame ka sunaya gaya faisla
Naa jaane apni beti ke maut ka dosh liye kaise rakh paaye wo itne saal hosla

Nahi samajh paayi kis saboot ke aadhar par tehraya gaya tha unhe doshi
Aur aaj kaise saabit hui unki nirdoshi

Kaun hai wo asli sazaa ka haqdaar
Kya aaj kanoon ne maan liya hai apna haar???

Koi samjhaye mujhe is faisle ka sahi arth
Kya yehi hai is mukaddame ka anth??
दिनों को गिनते गिनते गुज़र गए साल
आज भी क्यों बीतें यादें मचाये दिल में बवाल 

क्यों याद आते है वो आज भी जिनसे जुड़ा है बस घम 
क्यों आँखें आज भी हो जाती है नम 

हमारा मिलना शायद था संजोग 
साथ रहना शायद नहीं था हमारा योग 

वक़्त के साथ दर्द सहने की भी पद जाती है आदत 
पर उन पलों का क्या जिन्हे हमने माना था इबादत 

ये दिल का दर्द नहीं समझ पायेगा कोई 
आज भी है छुप छुप के ये आँखें रोई 

कुछ और भी बनालु में अपनी पहचान 
दिल पे रह जायेंगे उस दर्द के निशाँ 



Thama tha tumne bas yuhi mera haat
Par kya kabhi samajh paaye tum mere jazbaat??

Hamesha banaye rehte ho dil ko sakht
Kya nahi jaaga thoda Pyaar guzaar kar mere saath itna waqt??

Karte to ho pyaar ki baatein
Phir kyon jataate ho jaise un baaton se nahi hai koi naatein???

Apne saath ke un lamhon ke liye rehti Hoon bekaraar
Par kya ehaaas hai tumhe wo intezaar??

Hamesha rehti hai mujhse shikayatein
Kya kabhi samjhi hai meri hasratein???

Bolte to ho aati Hai Meri yaad
Par kya banaye rakh paoge hamesha mujhe apne Dil ka Chand???

Nahi samjhi mein tumhari yeh baatein
Kya ban ke reh gayi hoon mein bas tumhari zarooratein???

Friday, December 1, 2017

Shuru kiya tha maine ye naya safar
Mann mein basaye sapnon ka leher

Ban na chahti thi tumhari muskurat
Par kai baar mujhe sirf mila aapka gussa aur aapki jhunjhunahat

Tum sang banaana chahti thi apni alag pehchaaan
Naam badalne se nahi badal paate mere nishaan

Kitni raatein kaati hai tumhare pyaar ke liye taraste
Na jaane kab ek honge hamare ye raastein

Nahi ho tum meri zaroorat
Karna chahti hoon apne is rishte ki ibaadat
Kaash kabhi samajh paate mere dil ki chahat

Na jaane kab apne rishtein mein ghul gaya paise ka tol mol
Ban ke reh gaya hai wahi apne beech ka jhol

Jeena chahti hoon bas pyaar ka wo ehsaas
Gholna chahti hoon is rishtey mein bas mithaas

kuch chahatein aur kuch takraaroan mein guzar gaya apna ek saal
Aage ki zindagi pe na bhaari pade ye kaal

Lehraate rahe pyaar ke wo taraane
Zindagi ke gehraayi tak ho apne rishte ke saraahane

Likhna chahti hoon is rishtein ki sukhad kahani
Kaash tumhare mann ki bhi ho yehi zubaani