Monday, June 15, 2015

Waqt pe nahi chala hai kabhi kisi ka zor

kisi ki yaad mein is kadar kho gaye hum
Nahi samjhe kab khud se door ho gaye hum

nahi dekhna chahti thi asliyat
par dimaag kar raha tha shikayat
nahi badal saki jo tha haqueekat

guzare waqt par likh diya tha kisi ka naam
wo hi ho gaya zindagi se gumnaam

aansuon se hi mila hume sahaara
badalte mausam se mila zindagi mein ujiyaara

phir bhi dil mein aaj bhi kabhi hoti hai beete kal ki shor
waqt pe nahi chala hai kabhi kisi ka zor.......!!!!!

No comments: