Wednesday, July 15, 2015

Badhna hi hai zindagi!!!!!

kyon dete hai hum un yaadon ko itni ehmiyat
jinki nahi reh gayi zindagi mein koi khaasiyat

mat karo un rishton ki itni kadar, jinka nahi raha ab koi astitv
khaas the wo magar, ab nahi raha unka koi daayitv

un beete yaadon ko jeene ki na karo kabhi khwaaish 
bhula sake un yaadon ko karna hai wahi koshish

maana bhula paana hai mushkil 
par kyon rakhe hum unhe yaad, jinse nahi judi hai hamare khushiyon ki saahil

jeena hai hume banakar dil ko sakht
na kar kisi ka intezaar, kyon ki tum hi badal sakte ho apna waqt.....

1 comment:

Anonymous said...

Way cool! Some extremely valid points! I appreciate you writing this post plus the rest of the
website () is
really good.