Apne????
Jinse keh sake dil ki har baat
Jo samjhe hamare har jazbaat
Kya inhe kahu mein apna???
Jis pe kar saku aankh moond kar vishvas
Jo padhe hamare chehre ka har ehsaas
Kya inhe kahu mein apna???
Jiske saath har jhagde mein chupa hai pyaar
Jo hamara gussa shaant hone ka kare intezaar
Kya inhe kahu mein apna??
Jo na kare humse koi gaban
Jise karungi apna jeevan arpan
Kya use kahoon mein apna????
Aaj karti hoon sach ka aitbaar
Galat thi jo deti thi sabko apna hone ka karaar
Aaj samjhi hoon mein
Na hai koi apna is duniya mein
Jis kisi ne racha hai ye khel
Karvata hai wahi logon ka mel
Ab nahi hai kisi rishtein mein chetna
Nahi milti kisi se prerna
Na hai koi apna
Kisi ko apna bana paaye bas hoga ek sapna
Is duniya mein khush rehne ka ek hi mantr
bas khud hi ko banao use paane ka maadhyam aur yantr