Tuesday, May 7, 2013

garmi ki chutti

bachpan ki kuch yaadein hui hai taaza
aata tha har din kitna mazaa

pareeksha khatam hone ka karte the intezaar
garmi ki chuttiyon ke liye dil rehta tha bekaraar

woh chidiyon ke chu chu se hota jo savera
aaj nahi dikhe kahin hume chidiyon ka basera

bijlee ki katauti nahi lagti thi sazaa
aangan mein sabhi ke saath mil baithne ka uthathe the jo mazaa

taaron ke neeche guzarti thi jo raatein
yaad aati hai kai baatein

ped se aam ka tootke girna
hum sabka woh daud lagaana

bas aaj reh gayi hai yeh yaadein
chah kar bhi na laa sakenge wo beeti baatein

thi kitni maasomiyat
zindagi kitni khoobsoorat

aaj bas har waqt hai udaasi chaayi
prakruti ke saath ka anand jo hum se door hui

No comments: